Search This Blog

Autoblog

Wednesday, June 11, 2014

Hadith: Kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aasman se farishte aate jate rahte hain, kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain, aur ye sab FAJAR aur ASAR ki namaz mein jama ho jate hain phir wo farishte jo tumhare yahan raat mein rahe they, ALLAH ke huzur jate hain ALLAH taala unse daryaft fermata hai -- halanki wo sab se jiyada janne wala hai –ki tumne mere bando ko kis haal mein chodha to farishte arz karte hain ki jab humne unhe chodha to wo (Fajar ki) namaz Padh rahe the aur isi tarah jab hum unke yahan gaye the tab bhi wo (Asar ki) namaz Padh rahe they.
Sahih Bukhari, Vol 4,3223
 ------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Angels keep on descending from and ascending to the Heaven in turn, some at night and some by daytime, and all of them assemble together at the time of the Fajr and 'Asr prayers. Then those who have stayed with you over-night, ascent unto ALLAH who asks them, and He knows the answer better than they, "How have you left my slaves?" They reply, "We have left them praying as we found them praying."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 446: 

Category

Total Pageviews