Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Qabr (Grave). Show all posts
Showing posts with label Qabr (Grave). Show all posts

Wednesday, August 28, 2024

Hadith : Jo Qabro ko Sajdagah bana lete hain wo badtareen log hain

  *Bismillahhirrahmanirraheem*


*Hadith : Jo Qabro ko Sajdagah bana lete hain wo badtareen log hain*

-----------

 قَالَ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم: اِنَّ شِرَارَ النَّاسِ مَنْ تُدْرِکُہُ السَّاعَۃُ وَھُمْ اَحْیَائٌ وَمَنْ یَّتَّخِذُ الْقُبُوْرَ مَسَاجِدَ 

-----------

✦ :  RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Badtareen log wo hain Jinko Qayamat zinda paa legi (yani Jin par Qayamat qayam hogi) aur wo jo Qabro ko Sajdagah bana lete hain 

*Musnad Ahmed : 12911 Sahih*

-----------

رسول اللّٰہ صل اللہُ علیہ وسلم نے فرمایا 

بد ترین لوگ وہ ہیں، جن کو قیامت زندہ پا لے گی، (یعنی جن پر قیامت قائم ہو گی) اور وہ جو قبروں کو سجدہ گاہ بنا لیتے ہیں۔

*مسند احمد : ۱۲۹۱۱*

-----------

✦ : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया बदतरीन लोग वो हैं जिन को क़यामत ज़िंदा पा लेगी (यानी जिन पर क़यामत क़ायम होगी) और वो जो क़ब्रों को सजदागाह  बना लेते हैं 

*मसनद अहमद : 12911 -सही*

-----------

✦ : RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam  Said Verily, the worst of people are those upon whom the Hour is established while they are alive, and those who take graves as places of worship.

Musnad Ahmed : 12911 -Sahih


Wednesday, July 5, 2023

Hadith: Qabro ko pukhta na karo yani usko Pakki na banao aur us par imaarat na banao

 *Bismilllahirrhamnirrahim*

✦ *Hadith: Qabro ko pukhta na karo yani usko Pakki na banao aur us par imaarat na banao*

----------
*نَهَى رَسُولُ اللَّهِ ﷺ أَنْ يُجَصَّصَ الْقَبْرُ وَأَنْ يُقْعَدَ عَلَيْهِ وَأَنْ يُبْنَى عَلَيْهِ*

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne (yani pakki Qabr banane) , aur us par baithne aur us par imaarat banane se mana farmaya hai
Sahih Muslim  2245

✦ Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi angare par is tarah baithe jaye ki wo uske kapdo ko jala kar uski khaal tak pahuch jaye , ye uske haq mein zyada behtar hai us se ki wo kisi Qabr par baithe
Sahih Muslim  2248

 ✦ Rasool-Allah  SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Qabro ki taraf (rukh karke) Namaz na padho aur na us par baitho
Sahih Muslim  2251

-------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے قبروں کو پختہ کرنے (یعنی اس کو پکّی بنانے) اور اس پر بیٹھنے اور اس پر امارات بنانے سے منا فرمایا ہے  

صحیح مسلم ٢٢٤٥ 


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " تم میں سے کوئی انگارے پر ( اس طرح ) بیٹھ جائے کہ وہ اس کے کپڑوں کو جلا کر اس کی جلد تک پہنچ جائے ، اس کے حق میں اس سے بہتر ہے کہ وہ کسی قبر پر بیٹھے ۔ " 

صحیح مسلم ٢٢٤٨  


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  قبروں کی طرف ( رخ کرکے ) نماز نہ پڑھو اور نہ ان پر بیٹھو 

صحیح مسلم ٢٢٥١  

-------

✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने क़ब्रो को पुख़्ता करने (यानि उसको पक्की बनाने), और उस पर बैठने और उस पर ईमारत बनाने से मना फरमाया है

सही मुस्लिम  2245


✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया अगर कोई एक अंगारे पर बैठे और उसके कपड़े जल जाए और उसकी खाल तक पहुँचे ये बेहतर है, उस से की वो कब्र पर बैठे

सही मुस्लिम 2248


 ✦रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया क़बरो की तरफ (रुख करके) नमाज़ ना पढ़ो और ना  उन पर बैठो 

सही मुस्लिम 2251

-------

✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam forbade that the graves should be plastered or they be used as sitting places , or a building should be built over them

Sahih muslim Book 4,  2116


✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said It is better that one of you should sit on live coats which would burn his clothing and come in contact with his skin than that he should sit on a grave

Sahih Muslim, Book 4,  2119


✦  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Do not pray facing towards the graves, and do not sit on them

Sahih Muslim, Book 4,  2122

Monday, March 2, 2020

Hadith : Shaheed ki Qabr mein Aazmayeesh nahi hoti

*Bismillahirahmanirraheem*

✦ *Hadith : Shaheed ki Qabr mein Aazmayeesh nahi hoti*
-----
✦ Ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha ki  tamam momeeno ki qabr mein aazmayeesh ki jati hai lekin Shaheed ki Aazmayeesh Qabr mein kyu nahi hoti, Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya ki unke siro par talwar ki chamak ki aazmayeesh hi kaafi ho jati hai
Sunan Nasaii, Jild 1, 2057-Sahih
-----
ایک  صحابی نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا  کی  تمام مومنوں کی قبروں میں آزمائش کی جاتی ہے لیکن شہید کی آزمائش  قبر میں  کیوں نہیں ہوتی تو آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اس کے سروں  پر تلوار کی  چمک کی آزمائش کافی کافی ہو جاتی ہے ۔ 
 سنن نسائی جلد ۱،  ۲۰۵۷-صحیح 
-----
✦ एक सहाबी ने रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से पूछा की  तमाम मोमीनों की क़ब्र में आज़माईश की जाती है लेकिन शहीद की आज़माईश क़ब्र में क्यूँ नही होती, आप सलअल्लाहू अलैही सलअल्लाहू ने फरमाया की उनके सरों पर तलवार की चमक की आज़माईश ही काफ़ी हो जाती है
सुनन नसाई, जिल्द 1, 2057-सही
-----
✦ A man among the Companions of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said O Messenger of Allah, why will the believers be tested in their graves except the martyr ? He said The flashing of the swords above his head is trial enough
Sunan Nasaii, Book 21, 2055-Sahih

Wednesday, May 15, 2019

Hadith : Anbiya Alaihi salam apni Qabro mein zinda hain aur namaz padhte hain


Bismillahirrahmanirrahim 

✦  Hadith :  Anbiya Alaihi salam apni Qabro mein zinda hain aur namaz padhte hain
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Anbiya Alaihi salam apni Qabro mein zinda hain aur namaz padhte hain
Al Silsila As Sahiha, 3141

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis raat mujhe Mairaj huwa main hazrat moosa par se guzra , Laal lambi ret ke pass dekha to 

wo khadey huye apni Qabar mein namaz parh rahey they 
Sahih Muslim, Jild 6, 6157 
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
انبیاء علیہم السلام اپنی قبروں میں زندہ ہیں اور نماز پڑھتے ہیں
السلسلہ صحیحہ ٣١٤١ 

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
جس رات مجھے میراج ہوا میں حضرت موسیٰ علیہ سلام کے پاس سے گزرا  لال لمبی ریت کے پاس تو دیکھا کی وہ اپنی قبر میں کھڑے ہوئے ہیں اور نماز پڑھ رہے ہیں
صحیح مسلم جلد ٦ ، ٦١٥٧ 
-------
✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अम्बिया अलैही सलाम अपनी क़ब्रों में ज़िंदा हैं और नमाज़ पढ़ते हैं
अल सिलसिला अस साहिहा, 3141

✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस रात मुझे मैराज हुआ मैं हज़रत मूसा अलैहि सलाम पर से गुज़रा , लाल लंबी रेत के पास, देखा तो वो अपनी क़बर में खड़े हुए नमाज़ पढ़ रहे थे 
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6157 
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said: The Prophets are alive in their graves and praying 
Al Silsila As Sahiha, 3141

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said I happened to pass by Moses on the occasion of the Night journey near the red mound (and found him) saying his prayer in his grave. 
Sahih Muslim, Book 30, 5858 

AL Quran : Kahne laga Boshida (chura chura) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai


Bismillahirrahmanirrahim 

AL Quran : Kahne laga Boshida (chura chura) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai
Kah do unhe wohi (Allah) zinda karega jisne usey pahli baar paida kiya tha wo sab kuch banana janta hai , Wo jisney tumhare liye sabz darakht se Aag paida kar di  ki tum jaldi se us sey Aag sulga lete ho,  Kya wo jisne Aasman aur zameen ko bana diya us par Qadir nahi ki 
un jaise aur banaye,  kyun nahi wo bahaut kuch banane wala mahir hai
Al Quran , Surah Yaseen (36), Verse 77-81
---------
 القرآن : کہنے لگا بوسیدہ ہڈیوں کو کون زندہ کر سکتا ہے
کہہ دوانہیں وہی زندہ کرے گا جس نے انہیں پہلی بار پیدا کیا تھا اور وہ سب کچھ بنانا جانتا ہے وہ جس نے تمہارے لیے سبز درخت سے آگ پیدا کر دی کہ تم جھٹ پٹ اس سے آگ سلگا لیتے ہو کیا وہ جس نے آسمانوں اور زمین کو بنا دیا اس پر قاد رنہیں کہ ان جیسے اور بنائے کیوں نہیں وہ بہت کچھ بنانے ولا ماہر ہے
القرآن  سورة يس (٣٦) ٧٧-٨١ 
---------
अल क़ुरान : कहने लगा बोशीदा (चुरा चुरा) हड्डियों को कौन ज़िंदा कर सकता है
कह दो उन्हे वो ही (अल्लाह) ज़िंदा करेगा जिसने उसे पहली बार पैदा किया था वो सब कुछ बनाना जानता है
वो जिसने तुम्हारे लिए सब्ज़ दरख़्त से आग पैदा कर दी  की तुम जल्दी से उस से आग सुलगा लेते हो
क्या वो जिसने आसमान और ज़मीन को बना दिया उस पर कादिर नही की उन जैसे और बनाए,  क्यूँ नही वो बहुत कुछ बनाने वाला माहिर है
अल-कुरान सुरह यासीन (36) आयत 77-81
---------
Al Quran : He says Who will give life to these bones after they are rotten and have become dust ?  
He (Allah) will give life to them Who created them for the first time! And He is the All-Knower of every creation! 
He Who produces for you fire out of the green tree, when behold you kindle therewith. 
Is not He Who created the heavens and the earth, Able to create the like of them? Yes, indeed! He is the All-Knowing Supreme Creator
Surah Yaseen (36), 77-81

Tuesday, May 14, 2019

Al Quran : Logo tumko Maal ki bahut see talab ne gafil Kar diya



Bismillahirahmanirrahim

✦:Surah Al-Takathur
----
 أَلْهَاكُمُ التَّكَاثُرُ 
 حَتَّىٰ زُرْتُمُ الْمَقَابِرَ 
 كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ 
 ثُمَّ كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ 
 كَلَّا لَوْ تَعْلَمُونَ عِلْمَ الْيَقِينِ
 لَتَرَوُنَّ الْجَحِيمَ 
 ثُمَّ لَتَرَوُنَّهَا عَيْنَ الْيَقِينِ 
 ثُمَّ لَتُسْأَلُنَّ يَوْمَئِذٍ عَنِ النَّعِيمِ
----
✦Al Quran : Logo tumko Maal ki bahut see talab ne gafil Kar diya 
Yaha tak ke tumne Qabrein jaa dekhein
Dekho tumhein jald malum ho jaega 
Phir dekho tumhein jald malum ho jaega 
Dekho agar tum jante (Yani)ilm aur Yaqeen (rakhte to gaflat na Karte)
Tum zarur dozakh dekhoge,
Aur tum Usay yaqeen ki ankh se dekh loge
Phir us roz tumse Naimat ke bare mein Sawal hoga
Surah Al-Takathur (102) aayat 1-8
-----
لوگو) تم کو (مال کی) بہت سی طلب نے غافل کر دیا) 
یہاں تک کہ تم نے قبریں جا دیکھیں 
دیکھو تمہیں عنقریب معلوم ہو جائے گا 
پھر دیکھو تمہیں عنقریب معلوم ہو جائے گا 
دیکھو اگر تم جانتے (یعنی) علم الیقین (رکھتے تو غفلت نہ کرتے) 
تم ضرور دوزخ کو دیکھو گے 
اور تم اسے یقین کی آنکھ سے دیکھ لو گے
پھر اس روز تم سے نعمت کے بارے میں سوال ہوگا 
سورة التكاثر آیت ١-٨ 
-----
✦ अल क़ुरान : लोगो तुमको माल की बहुत सी तलब ने गाफ़िल कर दिया,
यहा तक के तुमने क़ब्रें जा देखी,
देखो तुम्हें जल्द मालूम हो जाएगा, 
फिर देखो तुम्हें जल्द मालूम हो जाएगा, 
देखो अगर तुम जानते (यानी) इल्म और यक़ीन (रखते तो गफलत ना करते),
तुम ज़रूर दोज़ख़् को देखोगे,
और तुम उसे यक़ीन की आँख से देख लोगे,
फिर उस रोज़ तुमसे नैमत के बारे में सवाल होगा
सुराह अल-तक़ासुर (102) आयत 1-8
-----
✦:Al Quran : The mutual rivalry (for piling up of worldly things) diverts you, 
Until you visit the graves ( till you die). 
Nay! You shall come to know! 
Again nay! You shall come to know! 
Nay! If you knew with a sure knowledge (the end result of piling up, you would not have been occupied yourselves in worldly things). 
Verily, You shall see the blazing Fire (Hell)! 
And again, you shall see it with certainty of sight! 
Then on that Day you shall be asked about the delights (you indulged in, in this world)!
Surah Al-Takathur(102) aayat 1-8

Islamic Azkars Videos
https://www.youtube.com/islamicAzkars

Thursday, May 9, 2019

Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab




Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab
-------------
✦ Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayata hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya ek Allah ke ek bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar gayee, jab us saza ka asar khatam ho gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad nahi ki thi
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees # 554
-------------
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول الله ﷺ نے فرمایا: اللہ كے ایك بندے كے بارے میں حكم دیا گیا كہ اسے قبر میں سو كوڑے مارے جائیں۔ وہ التجاو دعائیں كرتا رہا حتی كہ ایك كوڑا بطور سزا رہ گیا۔ اسے ایك كوڑا مارا گیا، اس 
كی قبر آگ سے بھر گئی، جب آگ ختم ہوئی اور اسے كچھ افاقہ ہوا تو اس نے پوچھا : تم نے مجھے كس وجہ سے كوڑا مارا ہے؟ فرشتوں نے كہا: تم نے ایك نماز بغیر طہارت كے پڑھی تھی، اور تم ایك مظلوم كے پاس سے گزرے تھے لیكن تم نے اس كی مدد 
نہیں كی تھی۔
السلسلہ صحیحہ ٥٥٤ 
-------------
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया एक अल्लाह के एक बंदे के बारे में हुक्म दिया गया के उसको क़ब्र में में सौ (100) कोडे मारे जाएँ. वो(इस अज़ाब को कम करने 
की) इलतेजा और दुआएँ करता रहा यहा तक की एक कोड़ा रह गया. जब ये कोड़ा उसको लगाया गया तो उसकी क़ब्र आग से भर गयी, जब उस सज़ा का असर ख़तम हो गया और उसको होश आ गया तो उसने फरिश्तो से पूछा तुम ने किस 
वजह से मुझे कोड़ा मारा है? फरिश्तों ने कहा तुम ने एक नमाज़ बिना पाकी ( यानि नापाकी की हालत में ) के पढ़ी थी, और दूसरा ये की तू एक मज़लूम के पास से गुज़रा था लेकिन तूने उसकी मदद नही की थी
अल-सिलसिला-अस-सहिहा हदीस # 554




✦ The Punishment in Grave for praying without proper purification and....
-------------
Narrated by Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu The Prophet  ﷺ  saidA person was ordered to be lashed a  times in his grave he continuously asked Allah to decrease his punishment until only one lash remained , when he was lashed his grave was totally filled by fire when the fire was removed and he regain consciousness he asked Why was I lashed ? ( what is the reason behind this punishment) he was told You offered a prayer once without proper purification and you passed by an oppressed but you did not help him

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 554

✦ Hadith : Maut ke waqt agar koi in teen baato se bari ho to wo jannat mein jayega



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Maut ke waqt agar koi in teen baato se bari ho to wo jannat mein jayega 
----------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke aazad karda gulam Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jiski rooh uske jism se aisee halat mein juda ho ki wo teen (3) baato se bari ho to wo Jannat mein dakhil hoga

1. Takabbur se

2. Maal e ganeemat mein khayanat se 
3. Qarz se
Sunan Ibn Majah, Jild 2, 569-Sahih
--------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के आज़ाद किये हुए गुलाम सोबान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसकी रूह उसके जिस्म से ऐसी हालत में जुदा हो की वो तीन (3) बातों से बरी हो तो वो जन्नत में दाखिल होगा 
1. तक़ब्बुर से, 
2. माल ए गनीमत में खयानत से , 
3. क़र्ज़ से
सुनन इब्न माजा, जिल्द 2, 569-सही
-------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس کی روح بدن سے جدا ہوئی اور وہ تین چیزوں غرور ( گھمنڈ ) خیانت اور قرض سے پاک ہو، تو وہ جنت میں داخل ہو گا ۔ 
-----------
✦ it was narrated from Thawban, the freed slave of the Messenger of Allah (ﷺ), that the Messenger of Allah (ﷺ) said Anyone whose soul leaves his body and he is free of three things, will enter Paradise
1. Arrogance, 
2. Stealing from the spoils of war.
3. Debt.
Sunan Ibn majah, Book 15, 2412-Sahih

Wednesday, May 8, 2019

Part 2 of 2 - Qabr mein puche jane wale char (4) sawal


Bismillahirrahmanirrahim

Part 2 of 2 - Qabr mein puche jane wale char (4) sawal

✦ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir ek pukarne wala aasman se pukaarta hai mere bande ne sach kaha lehaza tum is ke liye jannat ka bichona bichaa do, aur is ke liye jannat ki taraf ka ek darwaaza khol do, aur usko jannat ka libaas pehna do , phir jannat ki hawa aur uski khusboo aane lagti hai, aur had-e-nigah tak uske liye Qabar kushadah kar di jati hai .

✦ Aur raha kafir to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne uski mout ka zikr kiya aur farmaya uski rooh
uske jism mein lota di jati hai, is ke paas do farishte aate hain, usko uthate hain aur puchte hain : Tumhara RAB kon hai? woh kehta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom,wo dono phir us se puchte hain : Wo shakhsh kaun hain jinko tumhari taraf bheja gaya tha ? woh kehta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom, phir wo dono us se puchte hain : tumhara deen kya hai? wo kahta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom, to pukarne wala aasman se pukaarta hai : isne jhoot kaha, iske liye jahannum ka bichona bichaa do aur jahannum ka libaas pehna do, aur is ke liye jahannum ki taraf darwaaza khol do, to is ki tapish aur is ki zahrili hawa aane lagti hai aur is ki qabar tang kar di jati hai yahan tak ke is ki pasliyan idhar se idhar ho jati hain

✦ jarir Radi Allahu Anhu ki rivayet mein yeh izafah hai : ” phir is par ek andha goonga ( farishta ) muqarrar kar diya jata hai, is ke sath lohe ka ek aisa hathoda hota hai agar woh usko kisi pahad par bhi maare to wo bhi khaak ho jaye, phir wo us par (kafir par) iski ek zarb (chot) lagata hai jis ko mashriq o magrib ke darmyan ki saari makhlooq siwaye aadmi aur jin ke sab sunte hain, aur uske baad wo mitti ho jata hai aur phir se is mein rooh lota di jati hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1325-Sahih –Part 2

-----------------------------------

آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: پھر ایک پکارنے والا آسمان سے پکارتا ہے: میرے بندے نے سچ کہا لہٰذا تم اس کے لیے جنت کا بچھونا بچھا دو، اور اس کے لیے جنت کی طرف کا ایک دروازہ کھول دو، اور اسے جنت کا لباس پہنا دو آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے ہیں: پھر جنت کی ہوا اور اس کی خوشبو آنے لگتی ہے، اور تا حد نگاہ اس کے لیے قبر کشادہ کر دی جاتی ہے ۔ اور رہا کافر تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس کی موت کا ذکر کیا اور فرمایا: اس کی روح اس کے جسم میں لوٹا دی جاتی ہے، اس کے پاس دو فرشتے آتے ہیں، اسے اٹھاتے ہیں اور پوچھتے ہیں: تمہارا رب کون ہے؟ وہ کہتا ہے: ہا ہا! مجھے نہیں معلوم، وہ دونوں اس سے پوچھتے ہیں: یہ آدمی کون ہے جو تم میں بھیجا گیا تھا؟ وہ کہتا ہے: ہا ہا! مجھے نہیں معلوم، پھر وہ دونوں اس سے پوچھتے ہیں: تمہارا دین کیا ہے؟ وہ کہتا ہے: ہا ہا! مجھے نہیں معلوم، تو پکارنے والا آسمان سے پکارتا ہے: اس نے جھوٹ کہا، اس کے لیے جہنم کا بچھونا بچھا دو اور جہنم کا لباس پہنا دو، اور اس کے لیے جہنم کی طرف دروازہ کھول دو، تو اس کی تپش اور اس کی زہریلی ہوا ( لو ) آنے لگتی ہے اور اس کی قبر تنگ کر دی جاتی ہے یہاں تک کہ اس کی پسلیاں ادھر سے ادھر ہو جاتی ہیں جریر کی روایت میں یہ اضافہ ہے: پھر اس پر ایک اندھا گونگا ( فرشتہ ) مقرر کر دیا جاتا ہے، اس کے ساتھ لوہے کا ایک گرز ہوتا ہے اگر وہ اسے کسی پہاڑ پر بھی مارے تو وہ بھی خاک ہو جائے، چنانچہ وہ اسے اس کی ایک ضرب لگاتا ہے جس کو مشرق و مغرب کے درمیان کی ساری مخلوق سوائے آدمی و جن کے سنتی ہے اور وہ مٹی ہو جاتا ہے آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے ہیں: پھر اس میں روح لوٹا دی جاتی ہے ۔

سنن ابی داؤد جلد ۳ ۱۳۲۵ صحیح
_______________________

Part 2 of 2 : क़ब्र में पूछे जाने वाले चार (4) सवाल

✦ आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया फिर एक पुकारने वाला आसमान से पुकारता है : मेरे बंदे ने सच कहा लिहाज़ा तुम इस के लिए जन्नत का बीछोना बिछा दो, और इस के लिए जन्नत की तरफ का एक दरवाज़ा खोल दो, और उसको जन्नत का लिबास पहना दो , फिर जन्नत की हवा और उसकी खुशबु आने लगती है, और हद-ए-निगाह तक उसके लिए क़ब्र कुशादाह (चौड़ी) कर दी जाती है .

✦ और रहा काफ़िर तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने उसकी मौत का ज़िक्र किया और फरमाया उसकी रूह उसके जिस्म में लोटा दी जाती है, इस के पास दो फरिश्ते आते हैं, उसको उठाते हैं और पूछते हैं : तुम्हारा रब कौन है? वो कहता है : हा हा ! मुझे नही मालूम,
वो दोनो फिर उस से पूछते हैं : वो साहब कौन हैं जो तुम्हारी तरफ भेजे गए थे ?
वो कहता है : हा हा ! मुझे नही मालूम, फिर वो दोनो उस से पूछते हैं : तुम्हारा दीन क्या है? वो कहता है : हा हा ! मुझे नही मालूम, तो पुकारने वाला आसमान से पुकारता है : इसने झूठ कहा, इसके लिए जहन्नुम का बिछोना बिछा दो और जहन्नुम का लिबास पहना दो, और इस के लिए जहन्नुम की तरफ दरवाज़ा खोल दो, तो इसकी तपिश और इस की ज़हरीली हवा आने लगती है और इस की क़ब्र तंग कर दी जाती है यहाँ तक के उसकी पसलियां इधर से इधर हो जाती हैं

✦ ज़रीर रदी अल्लाहू अन्हु की रिवायत में यह इज़ाफ़ा है फिर इस पर एक अँधा गूंगा (फरिश्ता) मुक़र्रर कर दिया जाता है, इस के साथ लोहे का एक ऐसा हथोड़ा होता है अगर वो उसको किसी पहाड़ पर भी मारे तो वो भी खाक हो जाए, फिर वो उस पर (काफ़िर पर) इसकी एक जर्ब (चोट) लगाता है जिस को मशरिक़ और मगरिब के दरम्यान की सारी मखलूक़ सिवाए आदमी और जिन्नात के सब सुनते हैं, और उसके बाद वो मिट्टी हो जाता है और फिर से इस में रूह लोटा दी जाती है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1325-सही

-------------------------------------

Part 2 of 2 - The Four Questions in the grave

✦ Then a crier will call from Heaven: My servant has spoken the truth, so spread a bed for him from Paradise, clothe him from Paradise, and open a door for him into Paradise. So some of its air and perfume will come to him, and a space will be made for him as far as the eye can see.

✦ He also mentioned the death of the infidel, saying: His spirit will be restored to his body, two angels will come to him, make him sit up and ask him: Who is your Lord?
He will reply: Alas, alas! I do not know. They will ask him: What is your religion? He will reply: Alas, alas! I do not know. They will ask: Who was the man who was sent on a mission among you? He will reply: Alas, alas! I do not know. Then a crier will call from Heaven: He has lied, so spread a bed for him from Hell, clothe him from Hell, and open for him a door into Hell. Then some of its heat and pestilential wind will come to him, and his grave will be compressed, so that his ribs will be crushed together.

✦ Jarir radi allahu anhu version adds: One who is blind and dumb will then be placed in charge of him, having a sledge-hammer such that if a mountain were struck with it, it would become dust. He will give him a blow with it which will be heard by everything between the east and the west except by men and jinn, and he will become dust. Then his spirit will be restored to him.
Sunan Abu Dawud, Book 41, Hadith 4735-Sahih

Part 1 of 2 - Qabr mein puche jane wale char (4) sawal



Bismillahirrahmanirrahim

Part 1 of 2 - Qabr mein puche jane wale char (4) sawal
-----------------------------
✦ Bara bin aazib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke sath Ansar ke 1 shakhs ke janaze mein nikle, hum qabar ke paas pahuche, woh abhi tak tayyar 
nahi thi, to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam baith gaye aur hum bhi aap ke ird gird is tarah baith gaye jaise hamare saron par chidiyan baithi hain (yani gaur se sunne lag gaye), Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke haath mein ek lakdi thi, jis se Aap Sallallahu Alaihi wasallam zameen kured rahe they, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apna sir Mubarak uthaya aur farmaya Qabr ke azaab se Allah subhanahu ki panah talab kiya karo , ye do baar ya teen baar farmaya.
✦ Hannad Radi Allahu Anhu ki rivayet ke alfaz hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : (jab murdey ko dafan kar diya jata hai) phir is ke paas do farishte aate hain, usko bithate hain aur is se puchte hain : 
1. Tumhara RAB ( mabood ) kon hai? to woh kehta hai, mera RAB ( mabood ) Allah hai, phir woh dono is se puchte hain : 
2. tumhara deen kya hai? woh kehta hai : mera deen islam hai, phir puchte hain : 
3. Wo shakhsh kaun hain jo tumhari taraf bheje gaye they ? woh kehta hai : wo Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hain,
Phir woh dono is se kehte hain :
4. tumhe ye kahan se maloom hua? wo kehta hai : maine Allah ki kitaab padhi aur is par imaan laya aur is ko sach samjha 
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1325-Sahih –Part 1

----------------------------------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ انصار کے ایک شخص کے جنازے میں نکلے، ہم قبر کے پاس پہنچے، وہ ابھی تک تیار نہ تھی، تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم بیٹھ گئے اور ہم بھی آپ کے اردگرد بیٹھ گئے گویا ہمارے سروں پر چڑیاں بیٹھی ہیں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے ہاتھ میں ایک لکڑی تھی، جس سے آپ زمین کرید رہے تھے، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے سر اٹھایا اور فرمایا: قبر کے عذاب سے اللہ کی پناہ طلب کرو اسے دو بار یا تین بار فرمایا، یہاں جریر کی روایت میں اتنا اضافہ ہے: اور فرمایا: اور وہ ان کے جوتوں کی چاپ سن رہا ہوتا ہے جب وہ پیٹھ پھیر کر لوٹتے ہیں، اسی وقت اس سے پوچھا جاتا ہے، اے جی! تمہارا رب کون ہے؟ تمہارا دین کیا ہے؟ اور تمہارا نبی کون ہے؟ ہناد کی روایت کے الفاظ ہیں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: پھر اس کے پاس دو فرشتے آتے ہیں، اسے بٹھاتے ہیں اور اس سے پوچھتے ہیں: تمہارا رب ( معبود ) کون ہے؟ تو وہ کہتا ہے، میرا رب ( معبود ) اللہ ہے، پھر وہ دونوں اس سے پوچھتے ہیں: تمہارا دین کیا ہے؟ وہ کہتا ہے: میرا دین اسلام ہے، پھر پوچھتے ہیں: یہ کون ہے جو تم میں بھیجا گیا تھا؟ وہ کہتا ہے: وہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ہیں، پھر وہ دونوں اس سے کہتے ہیں: تمہیں یہ کہاں سے معلوم ہوا؟ وہ کہتا ہے: میں نے اللہ کی کتاب پڑھی اور اس پر ایمان لایا اور اس کو سچ سمجھا

 سنن ابی داؤد جلد ۳ ۱۳۲۵
______________________

✦ Part 1 of 2 : क़ब्र में पूछे जाने वाले चार (4) सवाल

✦ बरा बिन आज़िब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की हम रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ अंसार के 1 शख्स के जनाज़े में निकले, हम क़बर के पास पहुंचे , वो अभी तक तय्यार नही थी, तो रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम बैठ गये और हम भी आप के इर्द गिर्द इस तरह बैठ गये जैसे हमारे सरों पर चिड़ियाँ बैठी हैं (यानी गौर से सुनने लग गए), आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के हाथ में एक लकड़ी थी, जिस से आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ज़मीन कुरेद रहे थे, फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने अपना सर मुबारक उठाया और फरमाया क़ब्र के अज़ाब से अल्लाह सुबहानहु की पनाह तलब किया करो , ये दो बार या तीन बार फरमाया.
✦ हन्नाद रदी अल्लाहू अन्हु की रिवायत के अल्फ़ाज़ हैं, आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया : (जब मुर्दे को दफ़न कर दिया जाता है) फिर इस के पास दो फरिश्ते आते हैं, उसको बिठाते हैं और इस से पूछते हैं :
1. तुम्हारा रब ( माबूद ) कौन है? तो वो कहता है, मेरा रब ( माबूद ) अल्लाह है, फिर वो दोनो इस से पूछते हैं :
2. तुम्हारा दीन क्या है ? वो कहता है : मेरा दीन इस्लाम है, फिर पूछते हैं :
3. वो साहब कौन हैं जो तुम्हारी तरफ भेजे गए थे ? वो कहता है वो अल्लाह के रसूल सलअल्लाहू अलैही वसल्लम हैं,
फिर वो दोनों इस से कहते हैं :
4. तुम्हे यह कहाँ से मालूम हुआ ? वो कहता है मैंने अल्लाह की किताब पढ़ी और इस पर ईमान लाया और इस को सच समझा
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1325-सही

-------------------------------------------------

Part 1 of 2 - The Four Questions in the grave
------------------
✦ Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu 
We went out with the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam accompanying the bier of a man of the Ansar. When we reached his grave, it was not yet dug. So the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam sat down and we also sat down around him as if birds were over our heads. He had in his hand a stick with which he was scratching the ground.
He then raised his head and said: Seek refuge with Allah from the punishment in the grave. He said it twice or thrice.

✦ Narrated by Hannad Radi Allahu Anhu ( in grave) Two angels will come to him, make him sit up and ask him:
1. Who is your Lord?
He will reply: My Lord is Allah. They will ask him:

2. What is your religion?
He will reply: My religion is Islam. They will ask him:

3. What is your opinion about the man who was sent on a mission among you? He will reply: He is the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam . They will ask:

4. Who made you aware of this?

He will reply: I read Allah's Book, believed in it, and considered it true;
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4735-Sahih

Saturday, November 28, 2015

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai

Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina munawwara  ke ek baag se tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi bulki inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha , phir App Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye sukh na jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6055
---------------------------------------

Hadith: One of them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other used to go about with calumnies ( Means he was backbiter) 

Narrated Ibn Abbas Radhi allahu anhuma  Once the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  went through the grave-yards of Medina and heard the voices of two humans who were being tortured in their graves. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "They are being punished, but they are not being punished because of a major sin, yet their sins are great. One of them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other used to go about with calumnies ( Means he was backbiter)  ." Then the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked for a green palm tree leaf and split it into two pieces and placed one piece on each grave, saying, "I hope that their punishment may be abated as long as these pieces of the leaf are not dried."

Sahih Bukhari,  Book 73, Hadith 81

Tuesday, October 20, 2015

Mafhum-e-Hadith: Agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati
 ----------------------------
Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se bhi kiya, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey hongey 
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 

Hazrat aayesha aur hazrat Abdullah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Yahud aur Nasara par ALLAH ki laanat ho kyunki unhone apne Nabiyon  ki kabron ko ibdat ki bana liya tha, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam is bure amal se ( musalmano ko) dara rahe the
Sahih Bukhari,  Vol 7, 5815
  
Aisha Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne apne aakhri marz ke waqt ye farmaya tha ki Allah subhanahu ki laant ho yahud aur nasara par , unhone apne ambiya ki qabro ko ibadat ki jagah ( sazdagah) bana liya , agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati lekin darr iska hai ki kahi inko bhi log ibadat ki jagah na bana le
Sahih Bukhari, Vol 2, 1390
 ----------------------------

Narrated  Aisha Radhi Allahu Anhu  Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  in his fatal illness (last illnes) said, "Allah cursed the Jews and the Christians, for they built the places of worship at the graves of their prophets." And if that (shirk) had not been the case, then the Prophet's grave would have been made prominent before the people. So (the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam) was afraid, or the people were afraid that his grave might be taken as a place for worship.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 23, 472

Narrated Aisha Radi allahu anha and Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhuma :  May ALLAH curse the Jews Christians because they took the graves of their prophets as places of worship." By that he warned his follower of imitating them, by doing that which they did.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 706


Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama Radhi Allahu Anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him about it, on which he peace be upon him said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari, Book 8, #419

Sunday, December 28, 2014

Mafhum-e-Hadith : Qabr ka Azab (Torment of the grave)

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Qabr ka Azab (Torment of the grave)


Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  do Qabron ke pass se guzre aur farmaya ki in dono qabron ke murdon par azab ho raha hai aur ye kisi bade gunaah ki wajah se azab mein giraftar nahi hain bulki ismein se ek peshaab ke cheenton se nahi bachta tha aur ye (dusra) chugalkhor (backbiter) tha phir aapne ek hari shaakh mangwayee aur use Do tukdon mein faad kar dono qabron par laga di iske bad farmaya ki jab tak ye shaakhein sukh na jayegi us waqt tak shayad in dono ka azab halka rahey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6052

--------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhuma: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam passed by two graves and said, "Both of them (persons in the grave) are being tortured, and the are not being tortured for a major sin. This one used not to save himself from being soiled with his urine, and the other used to go about with calumnies ( backbiting). The Prophet then asked for a green leaf of a date-palm tree, split it into two pieces and planted one on each grave and said, "It is hoped that their punishment may be abated till those two pieces of the leaf get dried.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 78:

Wednesday, June 11, 2014

Hadith: jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai

Hazrat Abdullah bin umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai agar wo jannati hai to jannat mein dikhaya jayega aur Dozakhi hai to Dozakh mein dikhaya jayega.
Sahih Bukhari, Vol 4,3240
--------------------------------------

Narrated Abdullah bin Umar Radiallahu anhu ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, When anyone of you dies, he will be shown his destination both in the morning and in the evening, and if he belongs to the people of Paradise, he will be shown his place in Paradise, and if he is from the people of Hell, he will be shown his place in Hell.
Sahih Bukhari, Book 54, No. 463: 

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak. 
Sahih Muslim , Vol6, 7216 
--------------------------------
English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected. 
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:

Tuesday, October 16, 2012

Mafhum-e-Hadith: Qabro ki Ziyarat (Visiting The graves)

Bismillah irrahman Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Qabro ki Ziyarat (Visiting The graves)

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya tum Qabro ki Ziyarat kiya karo kyunki wo tumhey maut ki yaad dilati hain.
Sahih muslim, Vol2, 2259

Buraida Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mainey tumhey mana k

iya tha Qabro ki Ziyarat karney se lekin ab tum Ziyarat karo unki.
Sahih Muslim, Vol5, 5114

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qabro ki Ziyarat karo kyunki ye tumhey Aakhirat ki yaad dilati hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1569 (Sahih)

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu farmatey hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne qabron ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1575 (Sahih)

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hai aur isi tarah Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai
Sunan Abu Dawud, vol 2 , 1459

---------------------------------------------------------------------

Abu Huraira reported: The Apostle of Allah may peace be upon him said visit the graves, for that makes you mindful of death.
Sahih muslim, Book #004, Hadith #2130

Abdullah b. Buraida radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said this: I prohibited you from visiting the graves, but (now) you may visit them.
Sahih Muslim, Book #022, Hadith #4866

It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah peace be upon him said: Visit the graves, for they will remind you of the Hereafter.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1569 (Sahih)

It was narrated that Ibn Abbas radi allahu anhu that "The Messenger of Allah peace be upon him cursed women who visit graves.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1575 (Hasan)

Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) cursed women who visit graves, those who built mosques over them anderected lamps (there).
Sunan Abu Dawud, Book 20, Number 3230:

Saturday, October 13, 2012

Hadith: Nabee Qabro mein zinda hai aur Namaz parhtey hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Nabee Qabro mein zinda hai aur Namaz parhtey hain

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis raat mujhe Mairaj huwa main hazrat moosa par se guzra , Laal lambi ret ke pass dekha to wo khadey huye apni Qabar mein namaz parh rahey they
Sahih Muslim,  Vol 6, 6157

Anas bin malik radi allahu ahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Nabee Qabro mein zinda hai aur Namaz parhtey hain (sahih)
Bayhaqi, Hayat ul-Anbiyah, Page No. 003
---------------------------------------------------------------------------------------------Anas bin malik reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: I happened to pass by Moses on the occasion of the Night journey near the red mound (and found him) saying his prayer in his grave.  
Sahih Muslim, Book 030, Number 5858

Anas bin malik reported Allah's Messenger (
صلى الله عليه وسلم) said:  The Prophets are alive in their graves and praying
Bayhaqi, Hayat ul-Anbiyah, Page No. 003
 --------------------------------------------------------------------------------------------------
Note : intention behind to sharing this hadith is just to inform people that prophets alaihi salam are not like normal human being , ofcourse death came upon everybody but on prophet its for time being and how they live  their burzakhi life (life in grave)  its only Allah knows and always keep in mind one thing that  always ask from  Allah and Allah only coz Allah says in Quran Surah 40: verse 60 Ask me for (anything) I will respond to your (invocation).

Saturday, October 6, 2012

Mafhum-e- Hadith: Kabristan mein Namaz parhna mana hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e- Hadith: Kabristan mein Namaz parhna mana hai

Hazrat Ali Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki mere Habib Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Kabristan mein Namaz parhney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 488

Hazrat Abu said khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah  Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sari zameen Namaz ki jagah hai 
siwaye Hamam aur Maqbara  ke ( Kabristan ke)
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 490
------------------------------------------------------------------------------
Narrated Ali  May Allah be Pleased with him  said: My affectionate friend (Prophet Peace be upon him ) prohibited me to say prayer in the graveyard
Sunan Abu Dawud, Vol 1, Book2  # 490

Narrated Sa'id may ALLAH be pleased with him   :  The Prophet  peace  be upon him  said: The whole earth is a place of prayer except public baths and graveyards.
Sunan Abu Dawud, Vol 1,  Book 2, Number 0492

Total Pageviews