Search This Blog

Autoblog

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak. 
Sahih Muslim , Vol6, 7216 
--------------------------------
English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected. 
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:

Category

Total Pageviews