Search This Blog

Autoblog

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba) Khaney waley ka Dardnaak Anjaam


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba)  Khaney waley ka Dardnaak Anjaam

Samura bin Jundab Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat mein mainey do aadmee dekhey wo dono mere paas aaaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chaley yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shkash (nahar ke kinarey par)  khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinarey) khadey honey waley ke samney paththar Parhey huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaisey hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to  bahar wala shkash uskey munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wohi phir laut jata, mainey apney saathiyon(farishton) se pucha ki ye kya hai to unhoney uska jawab ye diya ki nahar mein tumney jis shaksh ko dekha wo sood khaney wala insaan hai. 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2085
-------------------------------------------------------
Narrated Samura bin Jundab: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "This night I dreamt that two men came and took me to a Holy land whence we proceeded on till we reached a river of blood, where a man was standing, and on its bank was standing another man with stones in his hands. The man in the middle of the river tried to come out, but the other threw a stone in his mouth and forced him to go back to his original place. So, whenever he tried to come out, the other man would throw a stone in his mouth and force him to go back to his former place. I asked, 'Who is this?' I was told, 'The person in the river was a Riba-eater."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 298: 

Category

Total Pageviews