Search This Blog

Autoblog

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai, bilkul sood


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai,  bilkul sood

Abu Saeed Khudri se rivayat hai ki Bilal Radiallahu anhu Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Barni khajur (achchey kism ki khajur) lekar aaye Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kaha se laye ho ? unhoney kaha hamarey paas kharab khajur thi uski 2 Saa iski (acchhey khajur ki) 1 Saa ke badley mein dekar laye hain taki hum ye Aapko khilaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tauba Tauba ye to Sood hai bilkul sood, aisa na kiya karo haan agar (achchi khajur ) kharidney ka irada ho to (kharab) khajur bech kar (uski qeemat se) achchi khajur kharida kar.
Sahih Bukhari,  Vol 3,2312

 ------------------------------------------------
Narrated Abu Said al-Khudri: Once Bilal brought Barni (i.e. a kind of dates) to the Prophet and the Prophet asked him, "From where have you brought these?" Bilal replied, "I had some inferior type of dates and exchanged two Sas of it for one Sa of Barni dates in order to give it to the Prophet; to eat." Thereupon the Prophet said, "Beware! Beware! This is definitely riba (usury)! This is definitely riba (Usury)! Don't do so, but if you want to buy (a superior kind of dates) sell the inferior dates for money and then buy the superior kind of dates with that money."
Sahih Bukhari,  Book 38, Hadith  506

Category

Total Pageviews