InShaAllah in this blog we will post Sahih Hadith in roman english as well in english from Six Authentic books (Sahih Bukhari, Sahih Muslim, Sunan Abu Dawud, Sunan Nasaii,Sunan Ibn Majah,Tirmidhi)
✦अल्लाहुम्मा अन्तस सलाम वा मिनकस-सलाम. तबारकता या ज़ल-जलाली वल-इकराम.
या अल्लाह तू ही अस-सलाम है और सलामती तेरी ही तरफ से है, तू बरकत वाला है, एह जलाल वाले और ईज्ज़त बख्शने वाले
सही मुस्लिम, 1334
----------
✦: When the Rasool-Allah (ﷺ) finished his prayer. He used to ask forgiveness three times (by saying Astagfirullah, Astagfirullah, Astagfirullah) and then says this Dua
Laa 'ilaaha 'illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku, wa lahul-hamdu wa huwa 'alaa kulli shay 'in qadeer.
Laa hawla wa laa quwwata 'illaa billaahi, laa 'ilaaha 'illallaahu, wa laa na'budu 'illaa 'iyyaahu, lahun-ni'matu wa lahul-fadhal, Wa lahus-thanaa'ul-hasan, Laa 'ilaaha
'illallaahu mukhliseena lahud-deena wa law karihal-kaafiroon.
---
✦ :ALLAH ke siwa koi mabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , Mulk usee ke liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai. Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi Allah ke siwa koi mabood nahi Aur ham sirf usee ki ibadat Karte hai ,usee ki tarf se inaam hai aur usse ke liye fazal hai aur usee ke liye behtareen hamd hai
Allah ke siwa koi mabood nahi , Ham usee ke liye bandgi ko khalis Karne wale hain, chahe kafir usko bura mane
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1493-Sahih
-----------------
عبداللہ بن زبیر رضی اللہ عنہما کو منبر پر کہتے سنا: نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم جب نماز سے فارغ ہوتے تو کہتے:
لا إله إلا الله وحده لا شريك له له الملك وله الحمد وهو على كل شيء قدير، لا إله إلا الله مخلصين له الدين ولو كره الكافرون أهل النعمة والفضل والثناء الحسن، لا إله إلا الله مخلصين له الدين ولو كره الكافرون»
اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں، وہ اکیلا ہے، اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لیے بادشاہت ہے، اسی کے لیے حمد ہے، وہ ہر چیز پر قادر ہے، کوئی معبود برحق نہیں سوائے اللہ کے، ہم خالص اسی کی عبادت کرتے ہیں اگرچہ کافر برا سمجھیں، وہ احسان، فضل اور اچھی تعریف کا مستحق ہے۔ کوئی معبود برحق نہیں سوائے اللہ کے، ہم خالص اسی کی عبادت کرتے ہیں، اگرچہ کافر برا سمجھیں ۔
سنن ابی داؤد جلد ۱ ۱۴۹۳ صحیح
-----
✦:रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम हर नमाज़ के बाद ये कलीमात पढ़ा करते थे
ला इलाहा ईलअल्लाहु वाहदाहू ला शरीका लहू, लहुल-मूल्कू, वा लाहुल-हम्दु वा हुवा आला कुल्ली शय इन क़दीर
ला हौला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह, ला 'इलाहा ईलअल्लाहु, वा ला नाअबुदू इल्ला इय्याह, लहू-अन्नैमतु वा लाहुल-फ़जल, वा लाहूस्सना उल-हसन, ला 'इलाहा ईलअल्लाहु मुख़लिसिना लहुद-दीना वा लव कारिहल-काफिरून.
---
✦:अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही वो तन्हा है उसका कोई शरीक नही , मुल्क उसी के लिए है, और उसी के लिए तमाम तारीफें हैं और वो हर चीज़ पर कुदरत रखने वाला है, अल्लाह की मदद के बगैर गुनाह से बचने की ताक़त और नेकी करने की क़ुव्वत नही अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही और हम सिर्फ़ उसी की इबादत करते हैं ,उसी की तरफ़ से इनाम है और उसी के लिए फ़ज़ल है और उसी के लिए बेहतरीन हम्द है
अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही , हम उसी के लिए बंदगी को खालिस करने वाले हैं, चाहे काफ़िर उसको बुरा माने
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1, 1493-सही
-----
✦:Abu Zubair said: I heard Abdullah bin al-Zubair saying on the pulpit: When the Prophet صلی اللہ علیہ وسلم finished the prayer, he used to say (at the end of the prayer): '
Laa 'ilaaha 'illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku, wa lahul-hamdu wa huwa 'alaa kulli shay 'in qadeer.
Laa hawla wa laa quwwata 'illaa billaahi, laa 'ilaaha 'illallaahu, wa laa na'budu 'illaa 'iyyaahu, lahun-ni'matu wa lahul-fadhal, Wa lahus-thanaa'ul-hasan, Laa 'ilaaha
'illallaahu mukhliseena lahud-deena wa law karihal-kaafiroon.
---
There is no God but Allah, Alone, Who has no partner, to Him belongs the Kingdom, all the praises are due for Him, and He is able to do all things;
There is no might nor power except by Allah, There is no God but Allah,And we worship none but Him, To Him belongs wealth, to Him belongs grace and he deserves all good praise There is no god but Allah to Whom we are sincere in devotion, even though disbelievers should disapprove
Bismillahirahmanirrahim Namaz ke baad ke Azkar Complete Video link --- https://www.youtube.com/watch?v=abz7uccxK3c 1✦ Ek baar اللّهُ أَكبَر Allahu Akbar padhna -------- ✦ :Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki Namaz ko Mukammal hona Takbir (Allah hu Akbar) ki wajah se samjh jate thay (Yani Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam Namaz ke baad Allahu Akbar padhte they) Sahih Bukhari , 842 2 ✦ Teen Baar Astagfirullah أَسْتَغْفِرُ اللَّه padhna ------- ✦ Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhte (Astagfirullah, Astagfirullah,Astagfirullah) Sahih Muslim, Jild 2, 1334 3 ✦ Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhne ke baad ye dua padhte ------ اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ ✦ Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam. Tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram. Ya Allah tu hi As-Salam hai aur salamati teri hi taraf se hai, tu barkat wala hai, Eh jalal wale aur ezzat bakhshne wale. Sahih Muslim, Jild 2, 1334 Video link https://youtu.be/fDV9Hht3TgQ 4✦ : Hadith: Main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad is dua ko parhna kabhi na chorhna ------- ✦ Muadh bin jabal Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ne mera haath pakad kar farmaya Allah ki kasam main tumse muhabbat karta hu Eh Muadh, aur main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad is dua ko parhna kabhi na chorhna اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ Allahumma Aainni Ala Zikrika WA Shukrika WA Husni ibadatika (Tarjumah: Ya Allah, meri madad kar tera zikr karne mein , aur tera shukar ada karne mein aur teri achchi ibadat karne mein) Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1509-Sahih Video link https://youtu.be/Zfjz7WyIBIo 5✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab har namaz ke baad salam pherte to ye farmate ---- لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ،اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ ✦ La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu; lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa Ala kulli shai'n qadir. Allahumma la mani'a Lima Aataita, Wa la Muatiya Lima manata, Wa la yanfau Zaal-Jadda Minkal-jadd. ---- Tarjuma : ALLAH ke siwa koi maabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , mulk uske liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheej par kudrat rakhne wala hai. Eh ALLAH jo kuch tu dena chahe use koi rokne wala nahi, aur jo kuch tu rokna chahe use koi dene wala nahi aur tere samne daulat walon ki daulat kuch kaam nahi aa sakti Sahih Bukhari, Jild 8, 6615 Video link https://www.youtube.com/watch?v=C3DcRHN1dvg 6✦ Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Namaz ke bad buland awaz se ye kalmat irshad farmate ----- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam har Namaz ke bad ye kalimat padha karte they لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَلَا نَعْبُدُ إِلَّا إِيَّاهُ، لَهُ النِّعْمَةُ وَلَهُ الْفَضْلُ، وَلَهُ الثَّنَاءُ الْحَسَنُ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ وَلَوْ كَرهَ الْكَافِرُونَ --- Laa 'ilaaha 'illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku, wa lahul-hamdu wa huwa 'alaa kulli shay 'in qadeer. Laa hawla wa laa quwwata 'illaa billaahi, laa 'ilaaha 'illallaahu, wa laa na'budu 'illaa 'iyyaahu, lahun-ni'matu wa lahul-fadhal, Wa lahus-thanaa'ul-hasan, Laa 'ilaaha 'illallaahu mukhliseena lahud-deena wa law karihal-kaafiroon. -- ALLAH ke siwa koi mabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , Mulk usee ke liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai. Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi Allah ke siwa koi mabood nahi Aur ham sirf usee ki ibadat Karte hai ,usee ki tarf se inaam hai aur usse ke liye fazal hai aur usee ke liye behtareen hamd hai Allah ke siwa koi mabood nahi , Ham usee ke liye bandgi ko khalis Karne wale hain, chahe kafir usko bura mane Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1493-Sahih Video link https://youtu.be/vfUTYdUxe9c 7 ✦ Hadith : Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho ------- Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo har namaz ke baad 33 baar سُبحـان اَللّه SubhanALLAH 33 baar الْحَمْدُ لِلَّهِ Alhamdulillah 33 baar اللّهُ أَكبَر Allahu Akbar kahe to ye 99 kalme honge aur usko Ye kahkar 100 kar le yani ek baar ye padh le لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ✦ La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir to uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho Sahih Muslim, Jild 2, 1352 Video link https://youtu.be/7rbo4WjTqNo 8 ✦Hadith: Har Farz Namaz ke bad Aayat ul kursi padhne ki Fazeelat ------- ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne har farz namaz ke baad Aayat Al kursi padhi to Jannat aur uske darmiyan maut ke siwa koi aur cheez rukawat nahi (Yani maut ke baad usko Jannat naseeb hogi) Al-Silsila-As-Sahiha Hadees – 749-Sahih Tabrani Al Kabeer, 6532-Hasan Sahih Al Jame , 6464-Sahih ------- بسم اللّه الرحمن الرحيم اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ ------- ✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) wahuwal Aleeyul adheem (azeem). ✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 ------- ✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, Zinda hamesha rahne wala, use na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai, kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake, jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 Video link https://youtu.be/lGMt_dLF4fY -- 9 ✦ Hadith: Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ------- ✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan ✦ Uqba bin amir radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har namaz ke baad aakhri teen surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padha karo Al Silsila As sahiha, 2776 ------- بسم الله الرحمن الرحيم قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ ✦ Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad ------- ✦ Al Quran : Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai Surah Al-ikhlas (112) ------- بسم اللّه الرحمن الرحيم قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ وَمِن شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ ------- Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad wa min sharri Haseedin iza hasad ------------- Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare Surah Al-Falaq (113) ------- بسم اللّه الرحمن الرحيم قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ ------- Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas Al Ladhi (lazi) Yuwaswisu fi sudurinNas, MinalJinnati wanNas --------- Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya, Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se. Al Quran, Surah An-Nas (114) Video link https://youtu.be/FSrA2KGE7fs 10✦ Jo Fajr ki Namaz ke baad 10 baar is Azkar ko padhega to us din har burayee se mehfooz rahega ------- لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir ✦ Tarjumah: Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi, usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai ---- ✦ Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe (jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe to uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan Video link https://www.youtube.com/watch?v=f16Ec0pwO8A 11 ✦ Hadith : Jo Magrib ki Namaz ke baad 10 baar ye padhega to Allah Subhanahu uski hifazat ke liye Farishta bhejega -------- لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir ✦ Tarjumah: Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi, usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai ---- ✦:Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padheto Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishte bhejega jo subah tak shaitan se uski hifazat karenge, uske liye 10 rahmat ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah mita diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan Video link https://www.youtube.com/watch?v=q9TJ3Xp6wTE 12 ✦ Fajr ki Namaz ke baad padhne ki dua ------- ✦ Umm Salma Radi Allahu anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab subah ki namaz mein salam pherte to uske baad ye dua padhte اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala ✦ Eh Allah main tujhse nafa dene wale ilm aur pakiza rizq aur qubul hone wale amal ka sawal karta hun Sunan ibn Maja, Jild 1, 925-Sahih Video link https://youtu.be/Ek-hAhebGtU Complete Video link --- https://www.youtube.com/watch?v=abz7uccxK3c Join us on below pages --- https://www.facebook.com/islamicAzkars httpbe.com/islamicAzkarss://www.youtu https://www.instagram.com/IslamicAzkars https://islamicazkars.blogspot.com https://t.me/IslamicAzkar https://twitter.com/IslamicAzkars To Join Whats App Send A On +965 50289051