Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Sood-Riba (Interest and Usury). Show all posts
Showing posts with label Sood-Riba (Interest and Usury). Show all posts

Sunday, February 12, 2023

Hadith : in Saat Halaq karne wale Gunaho se bacho

  *Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Hadith : in Saat Halaq karne wale Gunaho se bacho*

-----------

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ 

اجْتَنِبُوا السَّبْعَ الْمُوبِقَاتِ   قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَمَا هُنَّ قَالَ ‏"‏ الشِّرْكُ بِاللَّهِ، وَالسِّحْرُ، وَقَتْلُ النَّفْسِ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلاَّ بِالْحَقِّ، وَأَكْلُ الرِّبَا، وَأَكْلُ مَالِ الْيَتِيمِ، وَالتَّوَلِّي يَوْمَ الزَّحْفِ، وَقَذْفُ الْمُحْصَنَاتِ الْمُؤْمِنَاتِ الْغَافِلاَتِ

-----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 7 Halaq karne wale Gunaahon se bacho sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  wo kya kya hai? Farmaya

1.  ALLAH ke Saath Shirk karna

2.  Jadu karna

3.  Nahaq kisi ki Jaan lena jo ALLAH ne haram kiya hai

4.  Sood (Riba) Khana

5.  Yateem ka Maal khana

6.  Jung ke din Peeth pherna

7.  Paak Daman Ghafil Momeen Aurton par Tohmat lagana

-----------

رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا سات ( 7 ) حلاق کرنے والے گناہوں سے بچو صحابہ رضی اللہ عنہما نے عرض کیا یا رسول اللہ صل علیہ و سلّم وہ کیا ہے ؟ فرمایا 

۱. اللہ کے ساتھ شرک کرنا 

۲. جادو کرنا 

۳. ناحق کسی کی جان لینا جو اللہ نے حرام کیا ہے 

سود( ربا ) کھانا .٤ 

۵. یتیم کا مال کھانا 

جنگ کے دن پیٹھ پھیرنا .٦

۷. پاک دامن غافل مؤمن عورتوں پر تحمد لگانا

-----------

रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने फरमाया सात हलाक़ करने वाले गुनाहों से बचो सहाबा रज़ी अल्लाहु अन्हुमा ने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम वो क्या है ?..फरमाया..

1. अल्लाह के साथ शिर्क करना

2. जादू करना

3. नाहक़ किसी की जान लेना जो अल्लाह ने हराम किया है

4. सूद ( रिबा ) खाना

5. यतीम का माल खाना 

6. जंग के दिन पीठ फेरना 

7. पाक दामन ग़ाफिल मोमिन औरतौं पर तोहमत लगाना 

 सही बुख़ारी  6857

--------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Avoid the seven great destructive sins." They (the people!) asked, "O Allah's Apostle! What are they?" He said, 

1. To join partners in worship with Allah

2. To practice sorcery (Magic)

3. To kill the life which Allah has forbidden except for a just cause (according to Islamic law); 

4. To eat up usury (Riba), 

5. To eat up the property of an orphan; 

6. To give one's back to the enemy and fleeing from the battle-field at the time of fighting and 

7. To accuse chaste women who never even think of anything touching chastity and are good believers."

Sahih  Bukhari 6857

Tuesday, May 14, 2019

Hadith: Sabse bada sood ye hai ki koi kisi musalmaan ki na haq Be-Ezzati kare


Bismillahirrahmannirrahim

✦ *Hadith: Sabse bada sood ye hai ki koi kisi musalmaan ki na haq Be-Ezzati kare*
------------
✦ Said ibn Zayd  Radi Allahu Anhu s erivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih
------------
سعید بن زید  رضی الله عنه سے روایت ہے کی رسول الله صلی اللہ علیه وسلم نے فرمایا سب سے بڑا سود یہ ہے کہ آدمی ناحق کسی مسلمان کی بے عزتی  کرے
سنن ابو داود  ، جلد ٣ ، ١٤٤٨-صحیح 
------------
✦ सईद इब्न ज़ैद रदी अल्लाहू अन्हु से  रिवायत है की ऱसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सब से बड़ा सूद ये है की आदमी नाहक़ किसी मुसलमान की बेइज़्ज़ती करे
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1448-सही
------------
✦ Narrated Said ibn Zaid Radi Allahu Anhu RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said the worst kind of usury is revealing the defects of a Muslim (or insulting him)

Sunan Abu Dawud, Book 42, 4858-Sahih

Tuesday, September 16, 2014

Mafhum-e-Hadith: Sood Lene aur Dene walon par likhne Walo par aur uske Gawaho par Laanat

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Sood Lene aur Dene walon par likhne Walo  par aur uske Gawaho par Laanat
  ----------------------------------------------------
Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne Laanat ki hai Sood (byaj) lene wale par aur Sood dene  wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
Sahih Muslim, Vol4, 4093
 ----------------------------------------------------
Jabir Radi Allahu Anhu said that ALLAH's Messenger (may peace be upon him) cursed the accepter of interest and its payer, and one who records it, and the two witnesses, and he said: They are all equal.
Sahih Muslim, Book 010, No. 3881
 ----------------------------------------------------
Dua:
اللهم اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكْ
O ALLAH! Make sufficient for me what is halal (lawful) and to dispense with what is haram (unlawful) and enrich me with Your Favors so that I need no one but You.

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai, bilkul sood


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai,  bilkul sood

Abu Saeed Khudri se rivayat hai ki Bilal Radiallahu anhu Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Barni khajur (achchey kism ki khajur) lekar aaye Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kaha se laye ho ? unhoney kaha hamarey paas kharab khajur thi uski 2 Saa iski (acchhey khajur ki) 1 Saa ke badley mein dekar laye hain taki hum ye Aapko khilaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tauba Tauba ye to Sood hai bilkul sood, aisa na kiya karo haan agar (achchi khajur ) kharidney ka irada ho to (kharab) khajur bech kar (uski qeemat se) achchi khajur kharida kar.
Sahih Bukhari,  Vol 3,2312

 ------------------------------------------------
Narrated Abu Said al-Khudri: Once Bilal brought Barni (i.e. a kind of dates) to the Prophet and the Prophet asked him, "From where have you brought these?" Bilal replied, "I had some inferior type of dates and exchanged two Sas of it for one Sa of Barni dates in order to give it to the Prophet; to eat." Thereupon the Prophet said, "Beware! Beware! This is definitely riba (usury)! This is definitely riba (Usury)! Don't do so, but if you want to buy (a superior kind of dates) sell the inferior dates for money and then buy the superior kind of dates with that money."
Sahih Bukhari,  Book 38, Hadith  506

Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba) Khaney waley ka Dardnaak Anjaam


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba)  Khaney waley ka Dardnaak Anjaam

Samura bin Jundab Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat mein mainey do aadmee dekhey wo dono mere paas aaaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chaley yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shkash (nahar ke kinarey par)  khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinarey) khadey honey waley ke samney paththar Parhey huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaisey hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to  bahar wala shkash uskey munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wohi phir laut jata, mainey apney saathiyon(farishton) se pucha ki ye kya hai to unhoney uska jawab ye diya ki nahar mein tumney jis shaksh ko dekha wo sood khaney wala insaan hai. 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2085
-------------------------------------------------------
Narrated Samura bin Jundab: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "This night I dreamt that two men came and took me to a Holy land whence we proceeded on till we reached a river of blood, where a man was standing, and on its bank was standing another man with stones in his hands. The man in the middle of the river tried to come out, but the other threw a stone in his mouth and forced him to go back to his original place. So, whenever he tried to come out, the other man would throw a stone in his mouth and force him to go back to his former place. I asked, 'Who is this?' I was told, 'The person in the river was a Riba-eater."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 298: 

Tuesday, December 25, 2012

Al Quran : Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran :  Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan  ne lipat kar deewana bana liya ho ye haalat unki is wajah se hogi ki unhoney kaha tha ki kharid wa farokht bhi sood ki tarah hai jabki Allah taala ne kharid aur farokht ko hala qarar diya hai aur sood ko haram phir jisko uskey rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahley le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahanergey:
Al Quran, Surah Baqra, verse 275

English Translation:
Those who devour usury will not stand except as stand one whom the Evil one by his touch Hath driven to madness. That is because they say: "Trade is like usury," but Allah hath permitted trade and forbidden usury. Those who after receiving direction from their Lord, desist, shall be pardoned for the past; their case is for Allah (to judge); but those who repeat (The offence) are companions of the Fire: They will abide therein (for ever). 
Al Quran, Surah Baqra, verse 275


Total Pageviews