Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Shaitan (Devil). Show all posts
Showing posts with label Shaitan (Devil). Show all posts

Sunday, July 27, 2025

Hadith: Qailulla (Dupher ko khane ke baad aaram) kiya Karo kyuke Shaitan Qailulla Nahi karte

 

*Bismillahirrahmanirraheem*


*✦ : Hadith: Qailulla (Dupher ko khane ke baad aaram) kiya Karo kyuke Shaitan Qailulla Nahi karte

------

 قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قيلوا فإن الشياطين لا تقيل قيلوا فإن الشياطين لا تقيل

------

*✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaye Qailulah (Dupher ko khane ke baad aaram) kiya Karo kyunki Shiyaateen (Shaitan) Qailulah Nahi karte

Al-Silsila-As-Sahiha 2521

------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیلولہ (دوپہر کے کھانے کے بعد آرام) کیا کرو کیونکہ شیاطین قیلولہ نہیں کرتے۔

سلسلہ صحیحہ  ٢٥٢١  

------

✦ : रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया  क़ैलुला  (दोपहर के खाने के बाद आराम) किया करो क्योंकि शयातीन (शैतान) क़ैलुला नहीं करते

------

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Do Qailulah (A short mid-day nap) ,  because Devils do not do Qailulah.

Al-Silsila-tus-Sahiha, 2521


Tuesday, June 9, 2020

Mafhum e hadith : Namaz ke dauran aane wale waswase aur uska ilaj


*Bismillahirrahmanirraheem*

*Mafhum e hadith : Namaz ke dauran aane wale waswase aur uska ilaj*
-----
Uthman bin Abu Al As Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaye aur arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam shaitan meri namaz mein hayal ho jata hai aur mujhko Quran bhula deta hai Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya us shaitan ka naam khinzab hai aur jab tumhe us shaitan ka asar malum ho to Allah subhanahu ki panah mein aa us se, aur bahine taraf (left side) 3 baar thook ( namaz ke dauran bahini taraf dheere se 3 baar thoo kar) Uthman Radi Allahu Anhu ne kaha maine aisa hi kiya aur Allah subhanahu ne us shaitan ko mujhse dur kar diya
Sahih Muslim, Jild  6, 5738
---
عثمان بن ابوالعاص رضی اللہ عنہ نبی کریم ﷺ کے پاس آئے اور کہا کہ یا رسول اللہ ﷺ شیطان میری نماز میں حائل ہو جاتا ہے اور مجھے قرآن بھلا دیتا ہے ۔  آپ ﷺ نے فرمایا کہ اس شیطان کا نام خنزب ہے ،  جب تجھے اس شیطان کا اثر معلوم ہو تو اس سے اللہ تعالیٰ کی پناہ مانگ اور  ( نماز کے اندر ہی )  بائیں طرف تین بار تھوک لے ۔  سیدنا عثمان رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں نے ایسا ہی کیا ،  پھر اللہ تعالیٰ نے اس شیطان کو مجھ سے دور کر دیا ۔ 
صحیح مسلم جلد ٦، ٥٧٣٨ 
---
उस्मान बिन अबू अल आस रदी अल्लाहू अन्हु रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम के पास आए और अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  शैतान मेरी नमाज़ में हयल हो जाता है और मुझको क़ुरान भुला देता है आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया उस शैतान का नाम खिंज़ब है और जब तुम्हे उस शैतान का असर मालूम हो तो अल्लाह सुबहानहु की पनाह में आ उस से, और बाहिने तरफ (लेफ्ट साइड) 3 बार थूक ( नमाज़ के दौरान बहिनी तरफ धीरे से 3 बार थू थू कर) उस्मान रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा मैने ऐसा ही किया और अल्लाह सुबहानहु ने उस शैतान को मुझसे दूर कर दिया
सही मुस्लिम, जिल्द  6, 5738
---
Uthman bin Abu al-As reported that he came to Allah's Messenger Sallallahu alaihi wasallam and said:Allah's Messenger, the Satan intervenes between me and my prayer and my reciting of the Qur'an and he confounds me. Thereupon Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said That is (the doing of a) Satan (devil) who is known as Khinzab, and when you perceive its effect, seek refuge with Allah from it and spit three times to your left. I did that and Allah dispelled that from me.
Sahih Muslim, Book 26, 5463

Tuesday, May 14, 2019

Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua


Bismillahiirahmannirrahim

✦ Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua

بِسْمِ الله  - Bismillah
-------------
✦ Abu Al Malih Radi Allahu Anhu se rivayat hai  main Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche sawar tha ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sawari phisal gayee maine kaha shaitan mrey to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aise na kaho ke Shaitan mrey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya , isliye (jab kabhi thokar lage ya phisal jao to) kaho Bismillah (Allah ke naam se) kyunki  jab tum ye kahoge to wo pichak kar itna chota ho jayega Jaise makhkhi
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1545-Sahih
-------------
 ابو الملیح سے روایت ہے  میں نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پیچھے سوار تھا، کہ آپ کی سواری پھسل گئی، میں نے کہا: شیطان مرے، تو آپ نے فرمایا:  یوں نہ کہو کہ  شیطان مرے  اس لیے کہ جب تم ایسا کہو گے تو وہ پھول کر گھر کے برابر ہو جائے گا، اور کہے گا: میرے زور و قوت کا اس نے اعتراف کر لیا، بلکہ یوں کہو: اللہ کے نام سے اس لیے کہ جب تم یہ کہو گے تو وہ پچک کر اتنا چھوٹا ہو جائے گا جیسے مکھی۔ 
سنن ابو داوود - جلد ٣ - ١٥٤٥ - صحیح
-------------
✦ हज़रत अबू अल मलीह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है मैं रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के पीछे सवार था के आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम की सवारी फिसल गयी मैने कहा शैतान मरे तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ऐसे ना कहो के शैतान मरे इस लिए के जब तुम ऐसा कहोगे तो वो फूल कर घर के बराबर हो जाएगा और कहेगा मेरे क़ुव्वत को इस ने क़ुबूल कर लिया इस लिए (जब कभी ठोकर लगे या फिसल जाओ तो) कहो बिस्मिल्लाह (अल्लाह के नाम से)  क्यूंकि जब तुम ये कहोगे तो वो पिचक कर इतना छोटा हो जाएगा जैसे मक्खी
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1545-सही
-------------
✦ Abul Malih Radi Allahu Anhu said  I was riding on a mount behind the Rasool-Allah  Sallallahu Alaihi Wasallam,, It stumbled. Thereupon I said: May the devil perish ! He  Sallallahu Alaihi Wasallam, said: do not say; may the devil perish! becauseif you say that he (devil) will swell like a house, and will say (its) by my power. So (when you stumble) you should say  Bismillah  because when you say that, he will diminish like a fly
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4964-Sahih
https://www.instagram.com/IslamicAzkars

Hadith : Jab tak banda Allah se bakshish talab karta rahega wo unko bakhshta rahega




Bismilahirrahmanirrahim

Hadith : Jab tak banda Allah se bakshish talab karta rahega wo unko bakhshta rahega
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Aaihi Wasallam ne farmaya Iblis ne apne RABB se kaha teri izzat aur jalal ki Qasam jab tak ibn Adam mein rooh mojud rahegi mai hamesh unko gumrah karta rahunga Allah Subhanahu ne farmaya Mujhe meri izzat aur mere jalal ki qasam jab tak wo mujhse bakshish talb karte rahenge mai unko bakashta rahunga
Masnad Ahmed -5479-Shaih
-----------
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  ابلیس نے اپنے ربّ سے کہا: تیری عزت اور جلال کی قسم! جب تک بنو آدم میں روحیں موجود رہیں گی، میں ہمیشہ ان کو گمراہ کرتا رہوں گا، اللہ تعالیٰ نے کہا: مجھے میری عزت اور میرے جلال کی قسم! جب تک وہ مجھ سے بخشش طلب کرتے رہیں گے، میں ان کو بخشتا رہوں گا
مسند احمد ٥٤٧٩ - صحیح 
-----------
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया इब्लीस ने अपने रब्ब से कहा तेरी इज़्ज़त और जलाल की क़सम जब तक इब्न आदम में रूह मौजूद रहेगी मैं हमेशा उनको गुमराह करता रहूँगा अल्लाह सुब्हानहु ने फ़रमाया मुझे मेरी इज़्ज़त और मेरे जलाल की क़सम जब तक वो मुझसे बख्शिस तलब करते रहेंगे मैं उनको बख्शता रहूँगा 
मसनद अहमद, 5479-सही 
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Aaihi Wasallam said The devil (shaitan) said to the Lord of Glory (Allah Subhanahu) : By Your Glory O Lord, I will keep trying to misguide Your slaves so long as their souls are in their bodies.’ The Lord said, ‘By My Glory and Majesty, I will continue to forgive them so long as they ask My forgiveness.
Masnad Ahmed-5479-sahih

Shaitan wo darwaza Nahi kholta jisko Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho






Bismillahirrahmanirrahim

✦ Shaitan wo darwaza Nahi kholta jisko Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaye jab tum Raat ke Waqt kutte bhokne ya Gadhay ki awaz suno toh Allah Subhanahu ki panah mango kyu ke wo aise makhluq dekhte hain Jo tum Nahi Dekhte aur Bismillah padh Kar Darwaza band kar do kyu ke Shaitan wo darwaza Nahi kholta Jisay Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho  aur matke aur bartan dhanp Diya Karo aur aur mashkizo (water skin) ka muh band Kar Diya Karo
Al-Silsila-As-Sahiha #237
-----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب تم رات کے وقت کتے بھونکنے یا گدھے کے ہنہنانے کی آواز سنو تو اللہ کی پناہ مانگو کیونکہ وہ ایسی مخلوق دیکھتے ہیں جو تم نہیں دیکھتے اور بسم اللہ پڑھ کر دروازے بند کر دو، کیونکہ شیطان وہ دروازہ نہیں کھولتا جسے بسم اللہ پڑھ کر بند کیاگیا ہو، مٹکے اور برتن ڈھانپ دیا کرو اور مشکیزوں کے منہ بند کردیا کرو
السلسلہ صحیحہ ۲۳۷
-----------
✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया  जब तुम रात के वक़्त कुत्ते भोंकने या गधे की आवाज़ सुनो तो अल्लाह की पनाह मांगो क्यों के वो ऐसी मख्लूक़ देखते हैं जो तुम नहीं देखते और बिस्मिल्लाह पढ़ कर दरवाज़ा बंद कर दो क्यों के शैतान  वो दरवाज़ा नहीं खोलता जिसे बिस्मिल्लाह पढ़ कर बंद किया गया हो मटके और बर्तन ढांप दिया करो और मश्किजो (water skin) के मुँह बंद कर दिया करो
सिलसिला सहीहा , हदीस 273
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said When you hear a dog barking or a donkey braying in the night, seek refuge with Allah. They see what you do not see. Shut the doors and mention the Name of Allah over them. Shaytan will not open a door which has been shut and had the name of Allah mentioned over it. Then cover the pots, tie the water-skins and cover the vessels."
Al-Silsila-tus-Sahiha, #237

Thursday, May 9, 2019

Gusse ko Qabu karne ki dua


Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Gusse ko Qabu karne ki dua 
--------------------
✦ Sulaiman bin sard Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein gaali galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (lal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima malum hai ki agar ye (ya koi aur) shakhs usko parh le to is ka gussa jata rahe ga. 

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏
Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem
Tarjuma: Main panah mein aata hu Allah ki shaitan mardud se

Sahih Muslim Jild 6, 6648 
Sahih Bukhari , Jild 4, 3282
-----------------
سلیمان بن صرد رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ میں نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں بیٹھا ہوا تھا
 اور ( قریب ہی ) دو آدمی آپس میں گالی گلوچ کر رہے تھے کہ ایک شخص کا منہ سرخ ہو گیا اور گردن کی رگیں پھول گئیں ۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ مجھے ایک ایسا کلمہ معلوم ہے کہ اگر یہ شخص اسے پڑھ لے تو اس کا غصہ جاتا رہے گا
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏

۔ ( ترجمہ ) ” میں پناہ میں آتا ہوں اللہ کی شیطان مردود سے 

صحیح مسلم جلد ٦ / ٦٦٤٨
صحیح بخاری جلد ٤ /٣٢٨٢ 
---------------------
✦ सुलेमान बिन शर्द रदी अल्लाहू अन्हु ने बयान किया की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की खिदमत में बैठा हुआ था और क़रीब ही दो आदमी आपस में गाली गलोच कर रहे थे की एक शख्स का मुँह सुर्ख (लाल) हो गया और गर्दन की रगें फूल गयी 
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की मुझे एक ऐसा कलमा मालूम है की अगर ये शख्स (या कोई और) उसको पढ़ ले तो इस का गुस्सा जाता रहेगा

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏
आऊज़ुबिल्लाहि मीन अशशैतानीर्रजिम 
तर्जुमा: मैं पनाह में आता हूँ अल्लाह की शैतान मरदूद से

सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6648 , 
सही बुखारी , जिल्द 4, 3282
----------------------
✦ Dua To Control The Anger
--------------------
Narrated Sulaiman bin Surd Radi Allahu Anhu While I was sitting in the company of the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , two men abused each other and the face of one of them became red with anger, and his jugular veins swelled (i.e. he became furious). On that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "I know a word, the saying of which will cause him to relax and all is anger will go away."

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏
Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem
I seek Refuge with Allah from Satan the accursed

Sahih Muslim, Book 32, Hadith 6317
Sahih Bukhari, Book 54, Hadith 502

Ayat Al Kursi Shyateen / Jinnato se hifazat karti hai


Bismillahirrahmanirrhaim

✦ Ayat Al Kursi Shyateen / Jinnato se hifazat karti hai
---------------
✦ Ubay ibn Kab radi allahu anhu se rivayat hai ki unka ek khajur sukhane ka maidan tha jismein khajurein thi , wo uski nigrani kiya karte they ek din dekha 
ki khajurie kam hain to wo uska pahra dene lage unhone dekha ki ek jaanwar hai jo balig ladke ki tarah dikhta hai, unhone usko salam kiya to usne salam ka 
jawab diya unhone pucha ki tum jinn ho ya insan usne kaha jinn , unhone (Ubay ibn kaab radi allahu anhu ne) kaha ki mujhe apna haath dikhao , usne apna 
haath dikhaya to dekhte hain ki uska haath ek kutte ki tarah hai aur us par kutte ki tarah ke baal hain unhone kaha ki jinn ki takhleeq is tarah hoti hai 
kya ? usne kaha ki jinnat jante hain unmein mujhse taqatwar koi nahi phir unhone us se pucha ki tumhe is kaam par kisne majbur kiya ? usne kaha humein 
khabar mili thi ki tum aise shakhs ho jo sadqa pasand karte ho isliye humne socha ki hum bhi aapka khana khaye , phir unhone (Ubay ibn kaab radi allahu 
anhu ne) pucha ki humko tumse kaunsi cheez panah deti hai usne kaha Aayat Al kursi , dusre din Ubay ibn kaab radi Allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allaahu 
Alaihi Wasallam ke pass gaye aur aapko sara waqya sunaya to Aap Sal-Allaahu alaihi Wasallam ne farmaya us khabees ne sach kaha 
Sahi Ibn Hibban,791-Sahih
Al-Silsila-tus-Sahiha-2861
At Tabrani, 542-Hasan

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subah padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega 
Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih
---------------
أبي بن كعب رضی الله انہو کا ایک کھجور سکھانے کا میدان تھا جس میں کھجوریں تھیں۔ وہ اس کی نگرانی کرتے تھے ۔ ایک دن دیکھا کہ کھجوریں کم ہیں، تو اس کا پہرہ دیا۔ کیا دیکھتے ہیں کہ ایک جانور ہے جو بالغ لڑکے کے مشابہ ہے۔ میں نے سلام کہا ،اس نے سلام کا جواب دیا ۔میں نے کہا: جن ہو یا 
انسان؟ اس نے کہا جن ،انہوں نے کہا: مجھے اپنا ہاتھ دکھاؤ۔ اس نے اپنا ہاتھ دکھایا تو کیا دیکتےو ہیں وہ ایک کتے کی طرح کا ہاتھ ہے اور کتے کی طرح بال ہیں ۔انہوں نے کہا: جن کی تخلیق اس طرح ہوتی ہے؟ جن نے کہا: جنات جانتے ہیں کہ ان میں مجھ سے طاقتور کوئی نہیں ہے۔ میرے والد نے اس 
سے کہا: تمہیں اس کام پر کس نے مجبور کیا ؟ اس نے کہا:ہمیں خبر ملی ہے کہ تم ایسے شخص ہو جو صدقہ پسند کرتے ہو، اس لئے ہم نے سوچا کہ ہم بھی آپ کا کھانا کھائیں ،میرے والد نے کہا: ہمیں تم سے کونسی چیز پناہ دیتی ہے؟ اس نے کہا:آیتہ الکرسی ۔میرے والد صبح نبی ﷺ کے پاس گئے 
اور انہیں بتایا تو آپ نے فرمایا: اس خبیث نے سچ کہا
صحیح ابن حبان ٧٩١ 
طبرانی ٥٤٢ -حسن 
---------------
✦ उबे इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की उनका एक खजूर सुखाने का मैदान था जिसमें खजूरें थी , वो उसकी निगरानी किया करते थे एक दिन देखा की खजूरें कम हैं तो वो उसका पहरा देने लगे उन्होने देखा की एक जानवर है जो बालिग लड़के की तरह दिखता है, उन्होने 
उसको सलाम किया तो उसने सलाम का जवाब दिया उन्होने पूछा की तुम जिन्न हो या इंसान उसने कहा जिन्न , उन्होने (उबेय इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु ने) कहा की मुझे अपना हाथ दिखाओ , उसने अपना हाथ दिखाया तो देखते हैं की उसका हाथ एक कुत्ते की तरह है और उस पर 
कुत्ते की तरह के बाल हैं उन्होने कहा की जिन्न की तखलीक़ इस तरह होती है क्या ? उसने कहा की जिन्नात जानते हैं उनमें मुझसे ताक़तवर कोई नही फिर उन्होने उस से पूछा की तुम्हे इस काम पर किसने मजबूर किया ? उसने कहा हमें खबर मिली थी की तुम ऐसे शख्स हो जो सदक़ा 
पसंद करते हो इसलिए हमने सोचा की हम भी आपका खाना खाए , 
फिर उन्होने (उबे इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु ने) पूछा की हमको तुमसे कौनसी चीज़ पनाह देती है उसने कहा आयात अल कुर्सी , दूसरे दिन उबेय इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के पास गये और आपको सारा वाक़या सुनाया तो आप ल-अल्लाहू 
अलैही वसल्लम ने फरमाया उस खबीस ने सच कहा 
सही इब्न हिब्बान ,791-सही
अल-सिलसिला-अस-सहिहा-2861
अत तबरानी, 542-हसन
----------------------

✦ Aayat Al Kursi Protects from the Devils / Jinn
---------------
Narrate from Ubay ibn Ka’b (RadiAllahu Anhu) that he used to have a field of dates and he used to guard it but as time passed by he noticed that dates are 
being less, One night he planned to guard it, but he saw an (animal) in shape of a young boy. Ubay Ibn Ka’b offered him greetings and he replied back. Ibn 
Ka’b asked him whether he was a human or Jinn? He replied: He was Jinn! Ubayy asked him to show his hand, Ubayy saw that his hand was like that of a dog and 
it had hair on it like dog does. Ubayy asked: Are Jinns created in this fashion? He replied: Some Jinns are even more stranger than me. Ubayy asked: Who 
compelled you to do this (i.e. steal from my field) he replied: I have heard that you love to give Sadaqa so I thought of taking (stealing) something from 
you. Ubayy asked: What is it that can protect us from you? The Jinn replied: “Ayat al Kursi” which is in Surah al-Baqarah, whosoever recites it in the 
evening will be safe from our Sharr till the morning, and whosoever recites it in the morning he will be safe from us till evening. On next morning Ibn Ka’b 
went to the Prophet (Peace be upon him) and told him about this, the Prophet (Peace be upon him) said: The “Khabeeth told the truth”.
Sahi Ibn Hibban,791-Sahih
Al-Silsila-tus-Sahiha-2861
At Tabrani, 542-Hasan

✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever will recite this (Aayat Al kursi) in the morning he will be proected from the devil untill the evening and whoever will recite in the evening he will be protected untill the morning.
Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih
----------------------------
Aayat- Al-Kursi
-----------
Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum,
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard)
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa,
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard)
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255

Wednesday, May 8, 2019

Mafhum-e-Hadith : Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith : Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai
----------------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki so ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah subhanahu ko yaad kare to ek girah khul jati hai phir jab wuzu karta hai to dusri girah khul jati hai aur phir agar namaz padhe to teesri girah bhi khul jati hai is tarahsubah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna sust aur badmijaz rahta hai

Sahih Bukhari,Jild 2,1142
-------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की शैतान इंसान के सिर के पीछे रात में सोते वक़्त तीन गिराह (गाँठ) लगा देता है और हर गिराह पर ये फूँक देता है की सो जा अभी रात बहुत बाक़ी है फिर अगर कोई बेदार होकर अल्लाह सुबहानहु को याद करे तो एक गिरह खुल जाती है फिर जब वज़ु करता है तो दूसरी गिरह खुल जाती है और फिर अगर नमाज़ पढ़े तो तीसरी गिरह भी खुल जाती है इस तरह सुबह के वक़्त इंसान चुस्त और खुश मिजाज़ रहता है वरना सुस्त और बदमिज़ाज़ रहता है
सही बुखारी, जिल्द 2,1142
-------------------

رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ شیطان آدمی کے سر کے پیچھے رات میں سوتے وقت تین گرہیں لگا دیتا ہے اور ہر گرہ پر یہ افسوں پھونک دیتا ہے کہ سو جا ابھی رات بہت باقی ہے پھر اگر کوئی بیدار ہو کر اللہ کی یاد کرنے لگا تو ایک گرہ کھل جاتی ہے پھر جب وضو کرتا ہے تو دوسری گرہ کھل جاتی ہے۔ پھر اگر نماز (فرض یا نفل) پڑھے تو تیسری گرہ بھی کھل جاتی ہے۔ اس طرح صبح کے وقت آدمی چاق و چوبند خوش مزاج رہتا ہے۔ ورنہ سست اور بدباطن رہتا ہے

-------------------
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, Satan puts three knots at the back of the head of any of you if he is asleep. On every knot he reads and exhales the following words, 'The night is long, so stay asleep.' When one wakes up and remembers Allah, one knot is undone; and when one performs ablution, the second knot is undone, and when one prays the third knot is undone and one gets up energetic with a good heart in the morning; 
otherwise one gets up lazy and with a mischievous heart.
Sahih Bukhari, Book 21, 243

Saturday, September 19, 2015

Hadith: jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi
------------------------
Abdullah ibn masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi (aafat se bachne ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009


Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apne gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padhi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota
Jamia Tiirmidhi , Vol 2, 784-Sahih


------------------------
Narrated Abu Masud Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, 530

Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of ALLAH Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. 


Jamia Tiirmidhi , Vol. 1, Book 42,  2877-Sahih

Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain
-------------------
Jaber bin abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain phir jab ek ghadi raat guzar jaye to unhe chhodh do aur darwaze band kar lo aur ALLAH ka naam lo isliye ki shaitan band darwaze nahi khol sakta aur apni mashkon par daat laga do aur ALLAH ka naam lo aur apne bartano ko dhaanp do aur ALLAH ka naam lo agar kuch daaanpne ko na mile to un par kuch bhi  aad rakh do aur apne chiragon ko bujha do.
Sahih Bukhari , Vol 6, 5623
-------------------------

Narrated Jabir bin 'Abdullah Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "When night falls (or when it is evening), stop your children from going out, for the devils spread out at that time. But when an hour of the night has passed, release them and close the doors and mention ALLAH's Name, for Satan does not open a closed door. Tie the mouth of your water-skin and mention ALLAH's Name; cover your containers and utensils and mention ALLAH's Name. Cover them even by placing something across it, and extinguish your lamps. "
 
Sahih Bukhari,  Book 69, Hadith 527

Monday, May 18, 2015

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Abu Qatada Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984

Hazrat Abu Said Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab tum mein se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo ALLAH subhanahu ki taraf se hota hai is par ALLAH ki Hamd (shukr ada) kare  aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa khawab dekhta hai jo use napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye uski buraii se pannah maange aur kisi se us khwab ka zikr na kare , ye khwab use kuch nuksaan nahi pahucha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985 

Narrated Abu Qatada Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "A true good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 87, Number 113:


Narrated Abu Sa'id Al-Khudri Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, If anyone of you sees a dream that he likes, then it is from ALLAH, and he should thank ALLAH for it and narrate it to others; but if he sees something else, i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek refuge with ALLAH from its evil, and he should not mention it to anybody, for it will not harm him.

Sahih Bukhari, Vol 9, Book 87, No. 114

Sunday, December 28, 2014

Hadith: Cheenk (Sneezing) aane par Alhamdulillah kaho aur

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Cheenk (Sneezing) aane par Alhamdulillah kaho aur

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning ) ko napasand karta hai isliye tum mein se koi shaksh cheenke aur Alhamdulillah (Tamam Taarif ALLAH ke liye hai)  kahe to har musalman par haq hai ki jo use sune uska jawab Yarhamukallah se de, jamaayee (yawning) shaitan ki taraf se hoti hai isliye jahan tak ho sake use roke kyonki jab wo munh khol kar Haaaaa kahta hai to shaitan us par hansta hai.
Sahih Bukhari, Vol7, 6223


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi cheenke (sneezing ) to 'Al-Hamdulillah' kahe aur uska bhai ya uska saathi 'Yar-hamuka-llah’(ALLAH tum par raham karey) kahey, jab saathi Yarhamukallah kahe to uske jawab mein cheenkne wala kahe Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum (yani Alllah tumhe seedhe raaste par rakhe aur tumhare haalat durast karey)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6224
-------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, " If anyone of you sneezes, he should say 'Al-Hamdulillah' (Praise be to ALLAH), and his (Muslim) brother or companion should say to him, Yarhamukallah (May ALLAH bestow his Mercy on you). When the latter says 'Yar-hamuka-llah", the former should say, 'Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum' (May ALLAH give you guidance and improve your condition)."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 243:

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH likes sneezing and dislikes yawning, so if someone sneezes and then praises ALLAH, then it is obligatory on every Muslim who heard him, to say: Yar-hamuka-l-lah ( May ALLAH be merciful to you ) But as regards yawning, it is from Satan, so one must try one's best to stop it, if one says 'Haaa' when yawning, Satan will laugh at him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 242

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se
-------------------------------------------
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya beshaq achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hota hai isliye jab tum mein se koi shaksh aisa khwab dekhe jo bura ho to , 3 baar bahine taraf (left side) thu thu kare aur us khwab ki buraii se ALLAH ki panaah mange is tarah us khwab ka usey koi nuksaan nahi hoga,  Abu salma ne kaha ki kuch khwab mujh par pahaad se bhi ziyada bhari hote the lekin  jabse maine ye Hadith suni us par amal karne laga , ab mujhe koi parwah nahi hoti.
Sahih Muslim,  Vol 7, 5747
-------------------------------------------

Narrated Abu Qatada Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "A good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with ALLAH from its evil for then it will not harm him."
 Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 643


Thursday, August 21, 2014

Hadith: Har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai aur bachcha shaitan ke chune se zor se cheekhta hai, siwaye Mariyam radi allahu anha aur isa Alaihi salam ke
Sahih Bukhari, Vol 4, 3431
--------------------------------------------
Narrated Said bin Al-Musaiyab Radiallahu anhu: Abu Huraira Radiallahu anhu  said, "I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'There is none born among the off-spring of Adam, but Satan touches it. A child therefore, cries loudly at the time of birth because of the touch of Satan, except Mary and her child
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 641

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachne ki Dua

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachne ki Dua

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah subhanahu se Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya karte they aur farmate they ki tumhare buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye ALLAH ki panaah maanga kartey they.

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ


A'oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin
(Main Panaah maangta hun ALLAH ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
Sahih Bukhari,Vol4,3371

------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to seek Refuge with ALLAH for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (Abraham Alaihi Salam) used to seek Refuge with ALLAH for Ishmael and Isaac (Alaihi salam) by reciting the following:


أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ

( O ALLAH! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.)
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 590

Hadith: Jab murge ki aawaz suno to ALLAH se uskey Fazal ka sawal kiya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jab murge ki aawaz suno to ALLAH se uske Fazal ka sawal kiya karo

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab murgey ki aawaz suno to ALLAH se uskey Fazal ka sawal kiya karo kyunki usney farishte ko dekha hai aur jab gadhe (donkey) ki aawaz suno to shaitan se, ALLAH ki panaah mango kyunki usne shaitan  dekha hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3303

-------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "When you hear the crowing of cocks, ask for ALLAH's Blessings for (their crowing indicates that) they have seen an angel. And when you hear the braying of donkeys, seek Refuge with ALLAH from Satan for (their braying indicates) that they have seen a Satan."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 522:
------------------------------------------------------------------------

*Murge ki aawaz sunkr ye padhe:  اللهم انى اسألك من فضلك
Allahumma inni asaluka min fadlika

*Gadhe ki Aawaz sunkar ye padhe: 
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
Aaoodhu Billaahi minash-shaitaanir-rajeem

Hadith: Shaitan raat bhar uski naak ke nathney (upper part of nose) mein baitha rahta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shaitan raat bhar uski naak ke nathne (upper part of nose) mein baitha rahta hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi so kar uthey aur wudhu karey to 3 baar apni naak ko saaf kare kyunki shaitan raat bhar uski naak ke nathney (upper part of nose) mein baitha rahta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3295
---------------------------------------------
Hadith: Satan has stayed in the upper part of his nose all the night….


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone of you rouses from sleep and performs the ablution, he should wash his nose by putting water in it and then blowing it out thrice, because Satan has stayed in the upper part of his nose all the night."
Sahih Bukhari, Vol. 4, Book 54, No. 516

Monday, June 16, 2014

Hadith: Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai

Abu Qatada Radiallahu anhu se rivayat hai ki Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai isliye agar koi bura aur darawana khwab dekhe to bahine taraf Thoo (Spit) karke shaitan ki buraii se ALLAH ki panaah maange is amal se shaitan use koi nuksan nahi pahuncha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 4,3292

 ---------------------------------------
Hadith: A good dream is from ALLAH, and a bad or evil dream is from Satan

Narrated Abu Qatada Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A good dream is from ALLAH, and a bad or evil dream is from Satan; so if anyone of you has a bad dream of which he gets afraid, he should spit on his left side and should seek Refuge with ALLAH from its evil, for then it will not harm him."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 513


Hadith: ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai.

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki maine Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se namaz mein idhar udhar dekhne ke baare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3291

---------------------------------
Narrated 'Aisha Radiallahu anha : I asked the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  about one's looking here and there during the prayer. He replied, "It is what Satan steals from the prayer of any one of you." 
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 511 

Hadith: Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai, isliye jab kisi ko jamhayee aaye to jahan tak ho sake roke kyunki jab koi (jamhayee lete huye) Haaaa karta hai to shaitan us par hansta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3289

----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Yawning is from Satan and if anyone of you yawns, he should check his yawning as much as possible, for if anyone of you (during the act of yawning) should say: 'Ha', Satan will laugh at him."  Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 509:


Total Pageviews