Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 20, 2015

Mafhum-e-Hadith: Agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati
 ----------------------------
Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se bhi kiya, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq se burey hongey 
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 

Hazrat aayesha aur hazrat Abdullah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Yahud aur Nasara par ALLAH ki laanat ho kyunki unhone apne Nabiyon  ki kabron ko ibdat ki bana liya tha, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam is bure amal se ( musalmano ko) dara rahe the
Sahih Bukhari,  Vol 7, 5815
  
Aisha Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne apne aakhri marz ke waqt ye farmaya tha ki Allah subhanahu ki laant ho yahud aur nasara par , unhone apne ambiya ki qabro ko ibadat ki jagah ( sazdagah) bana liya , agar is (shirk) ka darr na hota to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati lekin darr iska hai ki kahi inko bhi log ibadat ki jagah na bana le
Sahih Bukhari, Vol 2, 1390
 ----------------------------

Narrated  Aisha Radhi Allahu Anhu  Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  in his fatal illness (last illnes) said, "Allah cursed the Jews and the Christians, for they built the places of worship at the graves of their prophets." And if that (shirk) had not been the case, then the Prophet's grave would have been made prominent before the people. So (the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam) was afraid, or the people were afraid that his grave might be taken as a place for worship.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 23, 472

Narrated Aisha Radi allahu anha and Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhuma :  May ALLAH curse the Jews Christians because they took the graves of their prophets as places of worship." By that he warned his follower of imitating them, by doing that which they did.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 706


Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama Radhi Allahu Anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him about it, on which he peace be upon him said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari, Book 8, #419

Category

Total Pageviews