Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 20, 2015

Mafhum-e-Hadith: Qayamat ka manzar aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki shafaat-

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Qayamat ka manzar aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki shafaat-

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din momeeno ko (garam maidan mein) rok diya jayega yahan tak ki uski wajah se wo gamgeen hojayenge aur kahenge ki kaash koi hamare RAB se hamari Shafaat karta ki humein is halat se nijat milti.

phir wo sab milkar Adam alaihi salam ke pass aayenge aur kaheng ki aap tamam insaano ke baap hain ALLAH ne aapko apne haath se paida kiya aur aapko jannat mein muqam ata farmaya , aapko sazda karne ka farishto ko hukm diya aur aapko har cheez ke naam sikhaye aap hamari shafaat apne RAB ke huzur mein kar dijiye taki humein is halat se nijat mile. Adam alaihi salam kahenge ki main is layaq nahi wo apni us galti ko yaad karenge jo na kahne ke bawajud darkaht kha lene se unse huyee thi Aur kahnge ki Nooh alaihi salam ke pass jao wo pahle nabee hain jinko ALLAH subhanhu ne zameen walo ki taraf Rasool banakar bheja tha 

Phir log nooh alaihi salam ke pass aayenge to wo bhi ye farmayenge ki main is layaq nahi aur apni us galti ko yaad karenge jo bagair ilm ke ALLAH subhanahu se (apne bete ki bakhshish ka) sawal karke unhone ki thi 
Aur wo kahnge ki Ibrahim Alaihi salam ke paas jao jo ALLAH ke Khalil hain.

Phir sab log Ibrahim Alaihi slaam ke pass jayenge to wo bhi yahi kahnge ki main is layaq nahi aur wo us teen baato ko yaad karenge jin mein aapne ba-zahir galat bayani ki thi aur kahenge ki Moosa alaihi salam ke pass jao wo aise bande hain jinhe ALLAH subhanahu ne taurat di aur unse baat ki aur unhe baat karne ke liye apne nazdeek kiya.

Phir log Moosa Alaihi salam ke pass aayenge to wo bhi yahi kahngeki main is layaq nahi aur wo galti yaad karenge jo ek shaksh ko qatl karke unhone ki thi phir wo kahenge Isa alaihi salam ke pass jao wo Allah ke bande aur uske rasool aur RoohAllah aur uska kalima hain.

Phir log isa alaihi salam ke pass jayenge to wo kahnge ki main is layaq nahi aap log Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass jao wo aise bande hain ki ALLAH ne unke agle pichle gunah maaf kar diye hain.

Phir log mere pass aayenge aur main apne RAB se uske dar par ( yani arsh mualla par) aane ke liye ejazat maangunga. Mujhe iski ejazat di jayegiPhir mein ALLAH subhanahu ko dekhte hi sazde mein chala jauunga Aur ALLAH jab tak chahega mujhe usee halat mein rahne dega phir farmayega ki eh Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam sir uthao aur kaho , tumahri baat suni jayegi , shafaat karo tumhari shafaat qubul ki jayegi aur jo maangonge diya kayega

Phir main apna sir uthauunga aur apne RAB ki hamd aur sana karunga Jo wo mujhe sikhayega uske baad main Shafaat karunga, mere liye hadd muqarrar kar di jayegi aur main uske mutabiq logo ko dozakh se nikal kar jannat mein dakhil karunga

Qtada Radhi Allahu Anhu ne kaha ki Anas Radhi Allahu Anhu ne farmaya 
Ki (Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya)main phir (dusri baar ) logo ko dozakh se nikalunga aur jannat mein dakhil karunga.

Phir teesri martaba apne RAB se iske liye (dozakh se musalmano ko nikalne ke liye ) ejazat mangunga Mujhe iski ejazat di jayegi Phir se mein ALLAH subhanahu ko dekhte hi sazde mein chala jauunga Aur ALLAH jab tak chahega mujhe use halat mein rahne dega phir farmayega ki eh Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam sir uthao aur kaho , tumahri baat suni jayegi , shafaat karo tumhari shafaat qubul ki jayegi aur jo maangoge diya jayega

Phir main apna sir uthauunga aur apne RAB ki hamd aur sana karunga Jo wo mujhe sikhayega uske baad main (phir se) Shafaat karunga, mere liye had muqarrar kar di jayegi aur main uske mutabiq logo ko dozakh se nikal kar jannat mein dakhil karunga, yahan tak ki wahi log baqi rah jaynge jinhe Quran ne rok rakha hoga yani unhe hamesha usmein rahna hoga 
( kyunki Quran mein RAB ye farma chuka hai kaafir aur mushrik hamesha dozakh mein rahenge) phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ye aayat tilawat ki

عَسَÙ‰ٰ Ø£َÙ† ÙŠَبْعَØ«َÙƒَ رَبُّÙƒَ Ù…َÙ‚َامًا Ù…َّØ­ْÙ…ُودًا 
(Qareeb hai ki aapka RAB aapko muqam-e-mehmood tak pahucha de)farmaya yahi wo muqam –e-mehmood hai jiska liye ALLAH subhanhu ne apne Habeeb Sal-Allahu Alaihi Wasallam se wada kiya hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7440
-------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radhi Allahu AnhuThe Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) said, "The believers will be kept (waiting) on the Day of Resurrection so long that they will become worried and say, "Let us ask somebody to intercede far us with our Lord so that He may relieve us from our place.

Then they will go to Adam and say, 'You are Adam, the father of the people. Allah created you with His Own Hand and made you reside in His Paradise and ordered His angels to prostrate before you, and taught you the names of all things will you intercede for us with your Lord so that He may relieve us from this place of ours? Adam will say, 'I am not fit for this undertaking.' He will mention his mistakes he had committed, i.e., his eating off the tree though he had been forbidden to do so. He will add, 'Go to Noah, the first prophet sent by Allah to the people of the Earth.' The people will go to Noah who will say, 'I am not fit for this undertaking' He will mention his mistake which he had done, i.e., his asking his Lord without knowledge.' He will say (to them), 'Go to Abraham, Khalil Ar-Rahman.' They will go to Abraham who will say, 'I am not fit for this undertaking. He would mention three words by which he told a lie, and say (to them). 'Go to Moses, a slave whom Allah gave the Torah and spoke to, directly and brought near Him, for conversation.'
They will go to Moses who will say, 'I am not fit for this undertaking. He will mention his mistake he made, i.e., killing a person, and will say (to them), 'Go to Jesus, Allah's slave and His Apostle, and a soul created by Him and His Word.' (Be: And it was.) They will go to Jesus who will say, 'I am not fit for this undertaking but you'd better go to Muhammad the slave whose past and future sins have been forgiven by Allah.' So they will come to me, and I will ask my Lord's permission to enter His House and then I will be permitted. When I see Him I will fall down in prostration before Him, and He will leave me (in prostration) as long as He will, and then He will say, 'O Muhammad, lift up your head and speak, for you will be listened to, and intercede, for your intercession will be accepted, and ask (for anything) for it will be granted:' Then I will raise my head and glorify my Lord with certain praises which He has taught me. Allah will put a limit for me (to intercede for a certain type of people) I will take them out and make them enter Paradise." (Qatada said: I heard Anas saying that), the Prophet (ï·º) said, "I will go out and take them out of Hell (Fire) and let them enter Paradise, and then I will return and ask my Lord for permission to enter His House and I will be permitted.

When I will see Him I will fall down in prostration before Him and He will leave me in prostration as long as He will let me (in that state), and then He will say, 'O Muhammad, raise your head and speak, for you will be listened to, and intercede, for your intercession will be accepted, and ask, your request will be granted.' " The Prophet (ï·º) added, "So I will raise my head and glorify and praise Him as He has taught me. Then I will intercede and He will put a limit for me (to intercede for a certain type of people). I will take them out and let them enter Paradise." (Qatada added: I heard Anas saying that) the Prophet said, 'I will go out and take them out of Hell (Fire) and let them enter Paradise, and I will return for the third time and will ask my Lord for permission to enter His house, and I will be allowed to enter.
When I see Him, I will fall down in prostration before Him, and will remain in prostration as long as He will, and then He will say, 'Raise your head, O Muhammad, and speak, for you will be listened to, and intercede, for your intercession will be accepted, and ask, for your request will be granted.' So I will raise my head and praise Allah as He has taught me and then I will intercede and He will put a limit for me (to intercede for a certain type of people). I will take them out and let them enter Paradise." (Qatada said: I heard Anas saying that) the Prophet (ï·º) said, "So I will go out and take them out of Hell (Fire) and let them enter Paradise, till none will remain in the Fire except those whom Quran will imprison (i.e., those who are destined for eternal life in the fire)." The narrator then recited the Verse:-- "It may be that your Lord will raise you to a Station of Praise and Glory.' (17.79) The narrator added: This is the Station of Praise and Glory which Allah has promised to your Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam )

Sahih Bukhari, Vol. 9, Book 93, Hadith 532

Category

Total Pageviews