Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 20, 2015

Mafhum-e-Hadith: Gustakh-e-Rasool ka ibrat naak anjam

Bismillahirrahmanirrahim


 Mafhum-e-Hadith: Gustakh-e-Rasool ka ibrat naak anjam

Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh pahle Esaayee ( Christian) tha , phir wo Islam mein Dakhil ho gaya tha , usne Surah baqra aur Aal-e-Imran padh li phir wo Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka munshi ( unke liye likhne wala) ban gaya , phir wo shaksh murtad ho gaya aur Esaayee ban gaya aur kahne laga ki Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko jo kuch maine likh diya hai uske siwa unhe kuch bhi malum nahi , phir Allah ke hukm se use Maut aa gayee, aur uske aadmeeyon ne use dafan kar diya.

jab subah huyee to sabne dekha ki uski laash Qabr se nikal kar zameen ke upar pari hai, Eesaeeyon ne kaha ki ye Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) aur uske saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isne chhorh diya tha, isliye unhone iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai.

phir unhone dusri Qabr khodi jo bahut ziyada gahri thi, lekin jab subha huyee to phir laash bahar thi is baar bhi unhone yahi kaha ki ye Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) aur unke saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isne chhodh diya tha,isliye unhone iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai,

phir unhone Qabr khodi aur jitni gahri unke bas mein thi karke uske andar daal diya, lekin subah huyee to phir laash bahar thi, ab unhe yakeen aa gaya ki ye kisi insaan ka kaam nahi ( bulki ye mayyat Azab-e-ilahi mein giraftar hai) phir unhone ise yu hi (zameen par) daal diya 
Sahih Bukhari, Vol 5, 3617 

--------------------------------------------------


Narrated By Anas Radiallaho anhu : There was a Christian who embraced Islam and read Surat-al-Baqara and Al-Imran, and he used to write (the revelations) for the Prophet. Later on he returned to Christianity again and he 
used to say: "Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) knows nothing but what I have written for him." Then Allah caused him to die, and the people buried him, but in the morning they saw that the earth had thrown his body out. They said, "This is the act of Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) and his companions. They dug the grave of our companion and took his body out of it because he had run away from them." They again dug the grave deeply for him, but in the morning they again saw that the  earth had thrown his body out. They said, "This is an act of Muhammad and his companions. They dug the grave of our companion and threw his body outside it, for he had run away from them." They dug the grave for him as 
deep as they could, but in the morning they again saw that the earth had thrown his body out. So they believed that what had befallen him was not done by human beings and had to leave him thrown (on the ground). 


Sahih Bukhari, ,Vol 4, Book 56. Hadith 814. 

Category

Total Pageviews