Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 20, 2015

Hadith: jo shakhs bhi logo ko namaz padhaye to mukhtasar padhaye kyunki namaziyon mein koi beemar hota hai ……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo shakhs bhi logo ko namaz padhaye to mukhtasar padhaye kyunki namaziyon mein koi beemar hota hai ……

Abu masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein hazir hokar arz kiya ki main falah imam ki wajah se subah ki namaz jamat ke saath nahi padhta kyunki wo bahut lambi namaz padhate hain , ravi kahte hain ki us din maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ko naseehat karne mein  jitna naraz dekha us se pahle kabhi nahi dekha ,Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh logo tum mein se kuch log logo ko (deen se) dur Karne wale hain , jo shakhs bhi logo ko namaz padhaye to mukhtasar padhaye kyunki namaziyon mein koi beemar hota hai , koi budha hota hai aur koi hajatmand hota hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6110
-------------------------------------------
Narrated Abu Masud Radhi Allahu Anhu a man came to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  and said "I keep away from the morning prayer only because such and such person prolongs the prayer when he leads us in it. The narrator added: I had never seen Allah's Apostle more furious in giving advice than he was on that day. He said, "O people! There are some among you who make others dislike good deeds) cause the others to have aversion (to congregational prayers).
Beware! Whoever among you leads the people in prayer should not prolong it, because among them there are the sick, the old, and the needy.


Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 73, Hadith 131

Category

Total Pageviews