Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai

Uqba. b. Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol4, 4253
Qasam or Nazar ( mannat) puri na karne par kafffara:
Al Quran : ALLAH Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhe naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhe tum pukhta (mazbut ) kar dete ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darje ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum Qasam kha lo ( aur use tod do) aur tumhe chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , ALLAH Subhanahu isi tarah tumhare liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Explanation: Agar kisi ne koi aisee Nazar ( ya mannat) maan li jo puri nahi kar sakta to use kaffara dena padega , aur uska kaffara wahi hai ko Qasam ka kaffara hai
----------------------------------------------
English Translation:
Uqba. b. Amir reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) as saying: The expiation of the (breach of) a vow is the same as that of the (breach of an oath).
Sahih Muslim, Book 014, 4243


Expiation of the (breach of) a vow or Oath:
Al Quran : ALLAH will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus ALLAH make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Explanation:  If anybody has taken a vow and he is unable to fulfill it then he has to give expiation and expiation of Vow is the same of expiation of Oath.

Category

Total Pageviews