Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith : ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ  مَلِكِ النَّاسِ  إِلَـٰهِ النَّاسِ
مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ  مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Al Quran : Kaho ki Main Logo ke RAB ki panaah mangta hun, 
Logon ke Badshah ki,  Logon ke Maabud ki
,Us Shaitan ki buraii se jo waswase daal kar chup jata hai ,
jo logon ke Dilon mein waswase daalta hai , Jinnat mein se ho ya Insaano mein se
 AL Quran: Surah An-Nas (114)

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre ya Dil mein uske karne ki khwahish paida ho magar uske mutabiq na amal  kiya ho aur na baat ki ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 6664

------------------------------------------------
English Translation:
Say: I seek refuge with (ALLAH) the Lord of mankind,
 The King (or Ruler) of Mankind, The ALLAH (for judge) of Mankind,
From the mischief of the Whisperer (of Evil), who withdraws (after his whisper) 

(The same) who whispers into the hearts of Mankind,  Among Jinns and among men. 
AL Quran: Surah An-Nas (114)

Narrated Abu Huraira: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "ALLAHforgives whispers in the hearts of my followers, unless the put it to action or utter it."
Sahih Bukhari,
Vol 8, Book 78, No 657

Category

Total Pageviews