Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: In-Sha-ALLAH kahne ki fazilat

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: In-Sha-ALLAH kahne ki fazilat

( Importence of Saying in-Sha-ALLAH)

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sulaiman Alaihi Salam ne ek din kaha ki Aaj raat mein apni 99 aurton (yani biwiyon) ke pass jauunga aur sabse Ek Ghudsawar ( horse rider) bachcha paida hoga jo ALLAH Subhanahu ke raaste mein Jihad karega is par unke saathi ne kaha ki In-Sha-ALLAH lekin Sulaiman Alaihi Salam ne in-Sha-ALLAH nahi kaha, phir wo apni tamam aurton (biwiyon) ke pass gaye lekin Ek ke siwa kisi se  hamal nahi hua aur wo bhi nakis ( adhura) bachcha paida hua , us jaan ki kasm jiske haath mein Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ke jaan hai agar unhone In-Sha-ALLAH kah diya hota to (tamam biwiyon ke yahan bachche paida hotey) aur sab ghodo (horses) par sawar hokar ALLAH subhanahu ke Rasste mein Jihad karne wale hotey
Sahih Bukhari, Vol8, 6639
----------------------------------------------

Engslish Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "(The Prophet) Solomon Alaihi Salam once said, 'Tonight I will sleep with ninety women ( wives), each of whom will bring forth a (would-be) cavalier who will fight in ALLAH's Cause." On this, his companion said to him, "Say: ALLAH willing!" But he did not say ALLAH willing. Solomon Alihi Salam then slept with all the women (wives), but none of them became pregnant but one woman (wife) who later delivered a half-man. By Him in Whose Hand Muhammad's soul is, if he (Solomon)  had said, 'ALLAH willing' (all his wives would have brought forth boys) and the would have fought in ALLAH's Cause as cavaliers. "
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 634: 

Category

Total Pageviews