Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: Saat tarah ke log jinhe Qayamat ke din ALLAHapne arsh ke Saye mein jagah dega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Saat tarah ke log jinhe Qayamat ke din ALLAH apne arsh ke Saye mein jagah dega

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se Rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  aise 7 tarah ke log  hain jinhe ALLAH subhanahu Qayamat ke din apne arsh ke saaye mein jagah dega jabki uske Arsh ke saaaye ke siwa aur koi saaya nahi hoga


1. Insaaf karne wala baadshah,
2. Wo Nojawan jo apne Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
3. wo shaksh jisne tanhaii mein ALLAH ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.
4. Wo shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai
5. Do aise shaksh jo ALLAH ke liye aapas mein mohabbat rakhte hain
6. wo shaksh jise kisi buland martaba aur khubsurat aurat ne (bure irade se) apni taraf bulaya aur usne jawab diya ki main ALLAH se darta hu
7. Aisa shaksh jisne aisa chupa ke sadqa diya ki bahine haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahine haath ne kitna aur kya sadqa kiya hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6806
--------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Seven (people) will be shaded by ALLAH by His Shade on the Day of Resurrection when there will be no shade except His Shade. (They will be),
1. A just ruler,
2. A young man who has been brought up in the worship of ALLAH,
3. A man who remembers ALLAH in seclusion and his eyes are then flooded with tears,
4. A man whose heart is attached to mosques (offers his compulsory congregational prayers in  the mosque),
5. Two men who love each other for ALLAH's Sake,
6. A man who is called by a charming lady of noble birth to commit illegal sexual intercourse with her, and he says, 'I am afraid of ALLAH,' and (finally),
7. A man who gives in charity so secretly that his left hand does not know what his right hand has given."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 82, Number 798


Category

Total Pageviews