Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Mafhum-e-Hadith: is par Laanat na karo ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai…

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: is par Laanat na karo ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai…


Umar Bin Khattab Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke zamane mein ek shaksh tha jiska naaam Abdullah tha log use Hamaar(Donkey) kah kar pukarte the wo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ko hasata tha aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne use Sharaab peene par mara tha,  usko ek din wo ( Sharab peeny par)  laya gaya aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske liye hukm diya aur use mara gaya logon mein se ek shaksh ne kaha ki ALLAH us par laanat kare Kitni martaba samjhaya hai, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya is par Laanat na karo Maine uske Mutalliq yahi jana hai ki ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6780

English Translation:(Do not curse him, for by ALLAH, I know for he loves ALLAH and His Apostle..)

Narrated Umar bin Al-Khattab Radhi Allahu Anhu : During the lifetime of the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam there was a man called Abdullah whose nickname was Hamaar (Donkey), and he used to make ALLAH's Apostle laugh. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam lashed him because of drinking (alcohol). And one-day he was brought to the Prophet on the same charge and was lashed. On that, a man among the people said, "O ALLAH, curse him ! How frequently he has been brought (to the Prophet on such a charge)!" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Do not curse him, for by ALLAH, I know for he loves ALLAH and His Apostle."
Sahih Bukhari,Vol 8, Book 81, No. 771

Category

Total Pageviews