Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Mafhum-e-Hadith: Bachche ki suratWalid ya Walida ke khandan se milna

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachche ki surat Walid ya Walida ke khandan se milna

Hazrat Abu Hurairah se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke pass ek Dehati aaya aur kaha ki ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  meri biwi ne kaala ladka paida kiya hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha tumhare pass oont hai ? usne kaha
haan Aapne farmaya unke Rang kaise hai usne kaha Surkh Aapne farmaya usmein koi khaki Rang ka bhi hai ? usne kaha Haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir ye kaha se aa gaya usne kaha mera ye khayal hai ki kisi Rag ne ye Rang ( Apne Aba wa Ajdad se – ancestors se) kheench liya hai jiski wajah se aisa oont paida hua hai , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki phir aisa bhi mumkin hai kitere bete ka Rang kisi Rag ne (ancestors se )  kheench liya ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6847

----------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : A bedouin came to ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  and said, "My wife has delivered a black child." The Prophet said to him, "Have you camels?" He replied, "Yes." The Prophet said, "What color are they?" He replied, "They are red." The Prophet further asked, "Are any of them gray in color?" He replied, "Yes." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked him, "Whence did that grayness come?" He said, "I thing it descended from the camel's ancestors." Then the Prophet said (to him), "Therefore, this child of yours has most probably inherited the color from his ancestors."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 82, Number 830: 

Category

Total Pageviews