Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Mafhum-e-Hadith: Aur is tarah Umar Radhi Allahu Anhu ka Imaan mukammal ho gaya

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aur is tarah Umar Radhi Allahu Anhu ka Imaan mukammal ho gaya

Abdullah bin Hisham Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke saath the aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam umar bin Khattab Radhi Allahu Anhu ka haath pakde huye the Umar Radhi Allahu Anhu ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Aap mujhe har cheez se ziyada azeez hai siwaye apni jaan ke to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi, us Zaat ki Qasam jiske hatah mein meri jaan hai (tumhara imaan us waqt tak muqammal nahi ho sakta) jab tak ki main tumhe tumhari Apni jaan se bhi ziyada azeez na ho jauu Umar Radhi Allahu Anhu se arz kiya ki ALLAH ki Qasam ab se Aap mujhe apni jaan se  bhi ziyada azeez hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya haan Umar ab ( tumhara Imaan pura ho gaya)
Sahih Bukhari, Vol 8, 6632
----------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin Hisham Radhi Allahu Anhu : We were with the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam and he Sal-Allahu Alaihi Wasallam was holding the hand of 'Umar bin Al-Khattab. 'Umar said to Him, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! You are dearer to me than everything except my own self." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "No, by Him in Whose Hand my soul is, (you will not have complete faith) till I am dearer to you than your own self." Then 'Umar said to him, "However, now, by ALLAH, you are dearer to me than my own self." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Now, O 'Umar, (you are a believer)."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 628

Category

Total Pageviews