Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Mafhum-e-Hadith: Marhum ki taraf se baqi Nazar(yani Mannat) puri karo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Marhum ki taraf se baqi Nazar(yani Mannat) puri karo

Sa'id bin 'Ubada Radhi Allahu Anhu se rivayata hai ki unhone Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se Ek nazar (Mannat) ke baare mein pucha jo unki Walida ke zimme baqi thi aur unki Maut Nazar puri karne se pahle ho gayee thi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne unhe ye fatwa diya ki wo apni Maa ki taraf se nazar puri karey
Sahih Bukhari, Vol 8, 6698

Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Ek sahib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein aaye aur arz kiya ki meri bahan ne nazar ( mannat) mani thi ki Hajj karegi lekin ab uska inteqal ho gaya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar us par koi karz hota to tum use Ada karte ? unhone arz ki jarur ada karta to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya phir ALLAH ka karz bhi ada karo wo iska ziyada mustahaq hai ki uska karz pura Ada kiya jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 6699

--------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Sa'id bin 'Ubada Al-Ansari Radhi Allahu Anhu :that he consulted the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  about a vow that had been made by his mother who died without fulfilling it. The Prophet gave his verdict that he should fulfill it on her behalf. The verdict became Sunnah.
Sahih Bukhari,Vol 8,Book 78,No.68
9


Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhu A man came to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam and said to him, "My sister vowed to perform the Hajj, but she died (before fulfilling it)." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Would you not have paid her debts if she had any?" The man said, "Yes." The Prophet said, "So pay ALLAH's Rights, as He is more entitled to receive His rights."
Sahih Bukhari,Vol 8, Book 78, No. 690

Category

Total Pageviews