Search This Blog

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: Tumhe us luqme par bhi sawab milega jo tum Apni Biwi ke munh mein rakte ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tumhe us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho

Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki main makka mein beemar pad gaya aur maut ke qareeb pahunch gaya , Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  meri ayadat ke liye tashreef laye maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  mere paas bahut zyada maal hai aur ek ladki ke siwa uska koi waris nahi to kya main apne maal ka do teehayee hissa sadqa kar du ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi,  to phir maine kaha aadha kar du to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi , maine arz kiya ki ek teehayee ( 1/3) kar du to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan magar ye ek teehayee bhi bahut hai, agar tum apne bachcho ko maaldar chorho ye is se behtar hai ki tum unhe tangdast ( gareeb) chorh kar jao aur wo logo ke samne haath phailate phirey, aur tum jo kuch bhi (ALLAH ki raah mein) kharch karoge tumhe uska sawab milega yahan tak ki us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho.
Sahih Bukhari,Vol8, 6733



Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum jo kuch bhi ALLAH ki raah mein kharch karoge tumhe uska sawab milega yahan tak ki us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho.
Sahih Bukhari, Vol 1, 56
-------------------------------------------
English Translation:
Narrated Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu : I was stricken by an ailment that led me to the verge of death. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came to pay me a visit. I said,
O Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! I have much property and no heir except my single daughter. Shall I give two-thirds of my property in charity?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, No,  I said, Half of it? He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, No,  I said, One-third of it?  He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, You may do so though one-third is also to a much, for it is better for you to leave your off-spring wealthy than to leave them poor, asking others for help. And whatever you spend (for ALLAH's sake) you will be rewarded for it, 
even for a morsel of food which you may put in the mouth of your wife."
Sahih Bukhari,Vol8, Book80, # 725

Narrated Sad bin Abi Waqqas  Radhi Allahu Anhu 
prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, You will be rewarded for whatever you spend for ALLAH's sake even if it were a morsel which you put in your wife's mouth.
Sahih Bukhari, Book 2, 53

Category

Total Pageviews