Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

Abdullah Ibn Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne Nazar (mannat) maan-ne se inkaar kiya aur  farmaya ki nazar ( mannat) kisi cheez ko nahi rokti, Nazar sirf Bakhil (Kanjus) ke pass se maal (paisa) nikalti hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6608

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya( ALLAH Subahanhu farmata hai) Nazar (Mannat)  insaan ko aisee koi cheez nahi deti jo maine uski Taqdeer mein na likhi ho, bulki wo taqdeer hi deti hai jo maine uske liye Muqarrar kar di hai, main uske (mannat ke) zariye Bakhil (kanjus) ka maal nikalwa leta hu
Sahih Bukhari, Vol 8, 6609

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mana farmaya hai Nazar se ( Yani Mannat se )   farmaya nazar (mannat) kisi aisee cheez ko aadmee ke nazdeek nahi karti jo ALLAH subhanahu ne uski taqdeer mein na likhi ho, lekin agar Nazar taqdeer ke muwafiq hoti hai to bakhil ke pass se wo maal nikalta hai jisko wo nikalna nahi chahta tha
Sahih Muslim, Vol 4, 4242, 4243


Anas and Abu Hurairah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek budhe ko dekha jo apne dono beton ke beech mein tek lagaye(sahara liye) chal raha tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya isko kya hua hai uske beton ne kaha ki isne nazar ( mannat) li hai  (Paidal hajj par jane ki)  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh budhe Sawari par baith ja kyunki ALLAH subhanahu mohtaj nahi hai tera aur teri Nazar(mannat) ka
Sahih Muslim,  Vol 4, 4247,4248

Tashreeh (Explanation) As per the book of Sahih Bukhari:
Aksar log yu to ALLAH ki raah mein paisa kharch nahi karte jab koi Museebat aa jati hai to us Waqt tarah tarah ki mannatein mante hain , magar nazar aur mannat man ne se Taqdeer nahi palat sakti hota wohi hai jo Taqdeer mein hai . Aap Sallallahu Alalihi Wasallam ne aisee nazar se mana farmaya jismein banda ye soche ki meri is nazar se bala tal jayegi ,lekin Agar koi ye sochkar Nazar mane ki jo ALLAH ne kismat mein likh diya hai wohi hoga to aisee nazar mana nahi jaise ki Nawafil Roza, Nawafil Namaz etc. aur iska pura karna Wajib hai. jaisy kiImran Alaihi salam ki biwi ne nazar mani thi ki  jo mere pet mein bachcha hai main use duniya ke kaamo se aazad karke teri nazar kar dungi
Al Quran : Jab Imran Alaihi salam ki biwi na kaha ki Ek RAB jo (bachcha) mere pet mein hai main usko teri nazar karti hu use duniya ke kaamon se aazad rakhungi
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35
Maryam radi Allahu anha ko ALLAH subahnahu ne hukm diya ki “Agar tum kisi aadmi ko dekho to kahna ki maine ALLAH ke liye roze ki mannat mani hai”
Surah Maryam (19) , Verse 26

Aur ek dusri jagah ALLAH ne neik logon ki taarif mein ye farmaya hai ki
“Wo (neik log) Apni mannatein puri karte hain aur us ( Qayamat ke) din se darte hain jiski museebat har jagah phaili huyee hogi”
Al Quran : Al-Insan (76), Verse  7

---------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  forbade vowing and said, "In fact, vowing does not prevent anything, but it makes a miser to spend his property."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 605:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said (that ALLAH said), "Vowing does not bring to the son of Adam anything I have not already written in his fate, but vowing is imposed on him by way of fore ordainment. Through vowing I make a miser spend of his wealth."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 606:


Abu Huraira reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) forbidding taking of vows, and said  The vow does not bring anything near to the son of Adam which ALLAH has not ordained for him, but (at times) the vow coincides with Destiny, and this is how something is extracted from the miserly person, which that miser was not willing to give.
Sahih Muslim, Book 14, 4024,4025

Anas bin Malik and Abu Huraira Radhi Allahu Anhuma reported: ALLAH's Apostle (may peace be upon him) found an old man walking between his two sons supported by them, whereupon ALLAH's Apostle (may peace be upon him) said: What is the matter with him? They said: He had taken the vow to walk (on foot to the Ka'ba). whereupon ALLAH's Apostle (may peace be upon him) said: Ride, old man, for ALLAH is not in need of you and your vow.

Sahih Muslim, Book 014, Number ,4029,4030

Explanation:
Most of the people dont spend money in ALLAH's way but whenever any problems occur they start various kinds of vowing , but vowing does not prevent anything, What ALLAH has written in our destiny it must happen. if somebody vow by thinking that Whatever in our destiny it must happen then these kind of vow is allowed  like Nawafil fast, nwafil prayers etc and it must be fulfilled for example


The wife of the Imran took vow for ALLAH that
Al Quran : (Remember) when the wife of 'Imran said: "O my Lord! I have vowed to You what (the child that) is in my womb to be dedicated for Your services
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35
ALLAH says to Maryam radi allahu anha
“And if you see any human being, say: Verily! I have vowed a fast unto the Most Gracious (ALLAH)”
Surah Maryam (19) , Verse 26
 in Quran ALLAH says those are the pious believers who fulfill their vowsThey (pious believers are those who) fulfil (their) vows, and they fear a Day whose evil will be wide-spreading.
Al Quran : Al-Insan (76), Verse  7

Category

Total Pageviews