Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Mafhum-E-hadith : Qayamat se pahle Kaaba sharif ko gira diya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-E-hadith : Qayamat se pahle Kaaba sharif ko gira diya jayega

Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri nazron ke samne wo patli taangon wala siyah aadmee hai jo khana-e-Kaaba ke ek ek paththar ko ukhad dega
Sahih Bukhari, Vol2, 1595

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kaaba ko Do patli pindliyon wala habshi kharab karega ( yani gira dega).
Sahih Bukhari, Vol2,  1596

Tashreeh: Ek rivayat mein hai ki uski aankhein neeli , naak phaili huyee hogi, uske saath aur bahut se log honge wo Kaaba sharif ka ek ek paththat ukhad dalnege aur samundar mein le jakar phenk denge , ye Qayamat ke bilkul nazdeek hoga.

 Narrated Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "As if I were looking at him, a black person with thin legs plucking the stones of the Ka'ba one after another. " 

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "DhusSuwaiqatain (the thin legged man) from Habsha (Ethopia) will demolish the Ka'ba."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 666: 

Category

Total Pageviews