Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith: Raii ke Daane ke barabar Imaan wala bhi jahanname se nikal liya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Raii ke Daane ke barabar Imaan wala bhi jahanname se nikal liya jayega

Abu Said Al-Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab Ahal-e-jannat jannat mein aur Ahal-e-Jahannam jahannam mein Dakhil ho jayenge to ALLAH Subhanahu farmayega ki jiske Dil mein Raii ke Daane ke barabar bhi Imaan ho to use Dojakh se nikal lo, aur us waqt wo log nikal liye jayege jo Jalkar koyele ki tarah ho gaye honge uske baad unhe Nahar-e-hayat mein daala jayega jiski wajah se wo is tarah tar-o- taaza (fresh) ho jayenge jaise Sailab ki jagah par kachre mein se Daana (seed) ug jata hai, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya tumne dekha nahi ki us Daane ki jagah zard rang ka lipta hua baronaq Podha (small plant) ug jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6560
---------------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Abu Said Al-Khudri Radhi Allahu Anhu :ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When the people of Paradise have entered Paradise, and the people of the Fire have entered the Fire, ALLAHSubhanahu will say. Take out (of the Fire) whoever has got faith equal to a mustard seed in his heart. They will come out, and by that time they would have burnt and became like coal, and then they will be thrown into the river of Al-Hayyat (life) and they will spring up just as a seed grows on the bank of a rainwater stream." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Don't you see that the germinating seed comes out yellow and twisted?"
Sahih Bukhari,Book 76, Number 565

Category

Total Pageviews