Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 3, 2015

Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke dua ki barkat

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke dua ki barkat

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Jumaa ke din khutba de rahe the ki ek Sahabi khade huye aur kahne lage ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ALLAH se dua farma dijiye ki hamare liye baarish baras jaye ( Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne dua farma di) aasman par baadal cha gaye aur baarish barasne lagi, ye haal ho gaya ki hamare liye ghar tak pahuchna mushkil tha, ye baarish agle juma tak hoti rahi phir wohi sahabi ya dusre sahabi agli jumaa ko khade huye aur farmaya ki ALLAH se dua kijiye baarish band kar de hum to dub gaye, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne dua ki Eh ALLAH hamare charon taraf ki Bastiyon ko sairab kar aur hum par baarish band kar de iske bad baadal tukde hokar madine ke charon taraf bastiyon mein chala gaya aur madine walon par baarish ruk gayee
Sahih Bukhari, Vol7, 6342

-------------------------------------------------

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : While the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam was delivering a sermon on a Friday, a man stood up and said, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Invoke ALLAH to bless us with rain." (The Prophet invoked ALLAH for rain.) So, the sky became overcast and it started raining till one could hardly reach one's home. It kept on raining till the next Friday when the same man or another man got up and said (to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ), "Invoke ALLAH to withhold the rain from us, for we have been drowned (with heavy rain )." The Prophet said, "O ALLAH! Let it rain around us and not on us." Then the clouds started dispersing around Medina and rain ceased to fall on the people of Medina.

Category

Total Pageviews