Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith : Banda logo ki nazar mein Ahal-e-jahannam ke kaam karta rahta hai jabki wo jannati hota hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Banda logo ki nazar mein Ahal-e-jahannam ke kaam karta rahta hai jabki wo jannati hota hai


Hazrat Sahal bin saad Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko dekha jo musrekeen se jung mein masruf tha ye shaksh muslamano ke sahib-e-maal aur daulat wale logo mein se tha Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi chahta hai ki kisi jahannami ko dekhe to wo is shaksh ko dekhey, is par ek sahabi us shaksh ke peeche lag gaye wo shaksh barabar ladta raha aur aakhir zakhmi ho gaya phir usne chaha ki jaldi mar jaye aur apne talwar ki dhaar ko apne seene ke  darmiyaan rakh kar is par apne aap ko daal diya aur talwar uske shaano ko cheerti huyee nikal gayee (is tarah wo khudkushi karke mar gaya)
Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya (kabhi kabhi) banda logo ki nazar mein Ahal-e-jannat ke kaam karta rahta hai jabki wo jahannami mein se hota hai ek dusra banda logo ki nazar mein Ahal-e-jahannam ke kaam karta rahta hai jabki wo jannati hota hai aur Aamaal ka daromadar to khatme par moquf (depend) hai
Sahih bukhari, Vol 7, 6493
--------------------------------------------
Narrated Sad bin Sahl As-Sa'idi Radiallahu anhu : The Prophet looked at a man fighting against the pagans and he was one of the most competent persons fighting on behalf of the Muslims. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Let him who wants to look at a man from the dwellers of the (Hell) Fire, look at this (man)." Another man followed him and kept on following him till he (the fighter) was injured and, seeking to die quickly, he placed the blade tip of his sword between his breasts and leaned over it till it passed through his shoulders (i.e., committed suicide).
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam added, "A person may do deeds that seem to the people as the deeds of the people of Paradise while in fact, he is from the dwellers of the (Hell) Fire: and similarly a person may do deeds that seem to the people as the deeds of the people of the (Hell) Fire while in fact, he is from the dwellers of Paradise. Verily, the (results of) deeds done, depend upon the last actions."
Sahih Bukhari, Book 76, No. 500

Category

Total Pageviews