Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Mafhum-e-Hadith: Sabse Aakhir mein jannat mein jane wala shaksh

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Sabse Aakhir mein jannat mein jane wala shaksh
Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam
  ne farmaya Main khubb janta hu ki Jahannam mein se sabse aakhir mein kaun niklega aur Jannat mein sabse aakhir mein kaun dakhil hoga wo ek Shaksh Jahannam se ghutno ke bal ghaseet-ta hua niklega aur ALLAH Subhanahu us se kahega ki jao aur Jannat mein Dakhil ho jao, wo jannat ke pass jayega lekin aisa malum hoga ki jannat bhari huyee hai isliye wo wapas aayega aur arz karega Eh mere Rab maine jannat ko bhara hua paya ALLAH phir us se kahega ki jao aur jannat mein Dakhil ho jao wo phir aayega aur use aisa lagega ki jannat bhari huyee hai isliye wo wapas laut jayega  aur arz karega Eh mere Rab maine jannat ko bhara hua paya ALLAH subhanahu farmayega jao aur jannat mein dakhil ho jao tumhe Duniya aur us se 10 guna diya jata hai wo Shaksh kahega ki  tu Mera mazak banata hai jabki tu Shahansha(king) hai maine dekha ki us baat par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  hans diye aur Aapke aage ke Dandaan (teeth) mubarak zahir ho gaye aur kaha jata hai ki Wo jannat ka sabse kam Darje wala shaksh hoga.
Sahih Bukhari  Vol 8, 6571

-------------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "I know the person who will be the last to come out of the (Hell) Fire, and the last to enter Paradise. He will be a man who will come out of the (Hell) Fire crawling, and ALLAH will say to him, 'Go and enter Paradise.' He will go to it, but he will imagine that it had been filled, and then he will return and say, 'O Lord, I have found it full.' ALLAH will say, 'Go and enter Paradise, and you will have what equals the world and ten times as much (or, you will have as much as ten times the like of the world).' On that, the man will say, 'Do you mock at me (or laugh at me) though You are the King?" I saw ALLAH's Apostle (while saying that) smiling that his premolar teeth became visible. It is said that will be the lowest in degree amongst the people of Paradise.
Sahih Bukhari,  Book 76, Number 575

Category

Total Pageviews