Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 3, 2015

Hadith: jo lalach ke saath maal leta hai to uske Maal mein barket nahi hoti

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo lalach ke saath maal leta hai to uske Maal mein barket nahi hoti

Hakim bin Hizam Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se (kuch maal) maanga to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ata farmaya , maine phir maanga phir ata farmaya , maine phir se maanga aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se ata farmaya aur iske baad farmaya ki ye maal Sabz aur khushgawar nazar aaata hai jo ise neik niyat se le to ismein barkat hoti hai aur jo lalach ke saath leta hai to uske Maal mein barket nahi hoti balki wo us Shaksh ke jaisa ho jata hai jo khata hai lekin uska Pet nahi bharta, aur upar ka haath (dene wala) neeche ke haath (lene waley) se behtar hai
Sahih Bukhari, Vol 7 , 6441


-------------------------------------------------

Narrated Hakim bin Hizam Radhi Allahu Anhu : I asked the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam (for some money) and he gave me, and then again I asked him and he gave me, and then again I asked him and he gave me and he Sal-Allahu Alaihi Wasallam then said, "This wealth is (like) green and sweet (fruit), and whoever takes it without greed, ALLAH will bless it for him, but whoever takes it with greed, ALLAH will not bless it for him, and he will be like the one who eats but is never satisfied. And the upper (giving) hand is better than the lower (taking) hand."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 448

Category

Total Pageviews