Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 3, 2015

Hadith: ALLAH subhanahu ne iska badla ye diya ki us par raham kar diya ( Allahu Akbar)

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH subhanahu ne iska badla ye diya ki us par raham kar diya ( Allahu Akbar)

Abu Said khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam 
ne pichli ummaton ke ek shaksh ka zikr farmaya jisey ALLAH taala ne maal aur aulad ata farmayee thi , jab uski maut ka waqt kareeb aaya to usne apne ladkon se pucha ki maine apne aapko ek walid ki hesiyat se kaisa sabit kiya ? ladkon ne kaha ki behatreen Walid. Phir us shaksh ne kaha ki usne ALLAH taala ke paas koi neki jama nahi ki hai , aur use agar ALLAH ke samne pesh kiya gaya to ALLAH usko azab dega, (isliye) jab main mar jauuu to meri laash ko jala dena aur jab main koyla ho jauu to mujhe pees dena aur kisi tez hawa ke din mujhe usmein udaa dena  usne apne ladko se is par waada liya, ( iske marne ke baad) uske ladko  ne iske saath aisa hi kiya, phir ALLAH subhanahu ne farmaya ki ( Kun) ho ja to wo ek mard ki shakal mein khada ho gaya, phir ALLAH subhanahu ne us se pucha ki mere bande ye jo tumne kiya hai us par tumhe kis cheez ne aamada kiya? ( yani tune aisa kyu kiya) us shaksh ne kaha ki tere khauf se,
ALLAH subhanahu ne iska badla ye diya ki us par raham kar diya.( yani use maaf kar diya)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6481
 ----------------------------------------------
Narrated Abu Said Khuri Radhi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  mentioned a man from the previous generation or from the people preceding your age whom ALLAH had given both wealth and children. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When the time of his death approached, he asked his children, 'What type of father have I been to you?' They replied: You have been a good father. He said, 'But he (i.e. your father) has not stored any good deeds with ALLAH (for the Hereafter): if he should face ALLAH, ALLAH will punish him. So listen, (O my children), when I die, burn my body till I become mere coal and then grind it into powder, and when there is a stormy wind, throw me (my ashes) in it.' So he took a firm promise from his children (to follow his instructions). And by ALLAH they (his sons) did accordingly(fulfilled their promise.) Then ALLAH said, "Be"' and behold! That man was standing there! ALLAH then said. "O my slave! What made you do what you did?" That man said, "Fear of You." So ALLAH forgave him.
Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 48
 

Category

Total Pageviews