Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Mafhum-e-Hadith : Ek Sachcha Musalman ( A True Muslim)

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Ek Sachcha Musalman ( A True Muslim)

Abdullah bin Amr Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya.
Sahih bukhari, Vol 7 , 6484

Hazrat Anas  Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apne bhai ke liye wohi pasand na kare jo apne aap ke liye karta hai
Sahih Bukhari, Vol 1 ,13

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya momeen dusre momeen ka aaeena hai, aur momeen dusre momeen ka bhai hai jo nuksaan ko us se dur karta hai aur uski gair mojudgi mein uski hifazat karta hai
Sunan Abu Dawud, Vol 3,  1486 ( Hasan)
-------------------------------------------------------
Narrated Abdullah bin Amr Radiallahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue or his hands. And a Muhajir (an emigrant) is the one who gives up (abandons) all what ALLAH has forbidden
Sahih Bukhari, Book 76, No. 491

Narrated Anas Radiallahu anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself." 
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No.  13


Narrated AbuHurayrah Radhi Allahu Anhu : The Prophet peace_be_upon_him said: The believer is the believer's mirror, and the believer is the believer's brother who guards him against loss and protects him when he is absent.
Hadith Abu Dawud, Book 41, Number 4900: ( Hasan)

Category

Total Pageviews