Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith : (Qayamat ke din) logon ka hashr 3 firqon mein hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : (Qayamat ke din) logon ka hashr 3 firqon mein hoga

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  (Qayamat ke din)logon ka hashr 3 firqon mein hoga (pahle firqe waley) log  (jannat ki) Ummeed karne wale aur darne wale honge (dusra firqe walon mein) ek oont par 2 aadmee sawar honge kisi oont par 3 honge aue kisi par 4 honge aur kisi par 10 sawar honge , aur baki (teesre firqe waley) logon ko Aag jamaa karegi jab wo Qailula(Afternoon nap)karenge to Aag bhi unke saath thahari hogi , jab wo raat guzarange to Aag bhi unke saath wahan thahri hogi, jab wo subah karenge to Aag bhi subah ke waqt wahan mojud hogi aur jab wo sham karenge to Aag bhi sham ke waqt usnke saath mojud hogi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6522
----------------------------------------


Narrated By Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The people will be gathered in three ways: (The first way will be of) those who will wish or have a hope (for Paradise) and will have a fear (of punishment), (The second batch will be those who will gather) riding two on a camel or three on a camel or four on a camel or ten on a camel. (The third batch) the rest of the people will be urged to gather by the Fire which will accompany them at the time of their afternoon nap and stay with them where they will spend the night, and will be with them in the morning wherever they may be then, and will be with them in the afternoon wherever they may be then."
Sahih Bukhari, Book 76, Number 529

Category

Total Pageviews