Search This Blog

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Mafhum-e-Hadith: Raat ko Surah Al-ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh kar aur badan par phunk kar soya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Raat ko Surah Al-ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh kar aur badan par phunk kar soya karo

--------------------------
Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam har raat jab Bistar par Aaram farmate to Apni dono hatheliyon ko mila kar Qul huwaAllahu ahad (Surat Al-Ikhlas), Qul Aauzu Birabbil Falaq (Surat Al-Falaq ) aur Qul Aauzu Birabbin naas (Surat An-Nas) (Teeno surtein Mukammal) padh kar un par phoonkte aur Phir dono hatheliyon ko Jahan tak Mumkin hota apne jism par phairte the, Pehle sir aur Chehra par hath phairte aur Samne ke badan par, ye Amal Aap teen(3) dafa karte the.
Sahih Bukari: Vol 6, 5017

--------------------------
Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha Whenever the Prophet Sallallhu Alaihi Wasallam went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq and Surat An-Nas, and then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. He used to do that three times.
Sahih al-Bukhari , Book 61, 536

Category

Total Pageviews