Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-84✦

  
 Islamic Quiz-84

Sawal: Ek Nabi jinhone ne ek kafir baadshah ko khul-e-aam ye kahkar challenge kiya tha ki 

"Beshak mera ALLAH wo hai jo Suraj ko mashrik (east) se nikalta hai tu use maghrib (paschim) se nikal kar bata "
Un Nabi ka kya Naam hai ?
A.Yaqub Alaihi salam
B. Isa alaihi salam
C.Ibrahim Alaihi salam
D.Musa alaihi salam
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------
Quiz : Once A Prophet gave open challenge to a kafir emperor by saying
Verily ! ALLAH brings the sun from the east; then bring it you from the west."
Who was that prophet ?
A.Yaqub Alaihi salam
B. Isa alaihi salam
C.Ibrahim Alaihi salam
D.Musa alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C:
--------------------------
Al Quran : Kya tumne us shaksh ko nahi dekha jisne Ibrahim (Alaihi salam) se uske RAB ke liye jhagda kiya kyunki ALLAH ne usko sultanut di thi, Jab Ibrahim(Alaihi salam) ne kaha ki Mera RAB wo hai jo zinda karta hai aur maarta hai usne kaha ki main bhi zinda karta hu aur maarta hun , Ibrahim (Alaihi salam) ne kaha ki Beshak ALLAH Suraj ko mashriq (purab) se nikalta hai tu usey maghrib (paschim) se le aa , tab wo kaafir hairan rah gaya aur ALLAH be insaafon ko seedhi Raah nahi dikhata.
Surah Al-Baqara, (2), Verse 258
-------------
Correct Answer is C:


Have you not looked at him who disputed with Ibrahim (alaihi salam) about his Lord (ALLAH), because ALLAH had given him the kingdom? When Ibrahim (alaihi salam) said (to him): "My Lord (ALLAH) is He Who gives life and causes death." He said, "I give life and cause death." Ibrahim (alaihi salam) said, "Verily! ALLAH brings the sun from the east; then bring it you from the west." So the disbeliever was utterly defeated. And ALLAH guides not the people, who are Zalimun (wrong-doers).
Al-Baqara, Chapter #2, Verse #258

Category

Total Pageviews