Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-61✦

 Islamic Quiz-61

Sawal: Islamic Shariyat ke hisab se , ek musalman dusre musalman se zyada se zyada kitne din tak naraz rah sakta hai ?

A. 3 days
B. 7 days
C. 40 days
D. 70 days
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------------
Quiz : According Islamic shariyah , How many maximum days a muslim can keep apart (can be annoyed) from another muslims ?

A. 3 Days
B. 7 days
C. 40 days
D. 70 days
E. None of the above
F. I want to know
  

Sahi Jawab A - 3 days
-------------------
Hadith : jisne 3 din se ziyada apne bhai ko chorh diya (yani us se naraz raha ) aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga
------------------------------------------
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya ki kisi Momeen ke liye ye jayez nahi ki dusrey momeen ko 3 din se ziyada chodh de (yani naraz rahey) , agar 3 din guzar jaye to wo us sey miley aur salam karey agar usney salam ka jawab diya to sawab mein dono sharik ho gaye aur agar salam ka jawab nahi diya to wo (jawab na dene wala) sara gunaah le gaya.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1481-Sahih

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi ki apne bhai ko 3 din se ziyada chor de ( yani us sey naraz rahe) jisne 3 din se ziyada chorh diya aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1483-Sahih

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain, phir har us bande ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta aur siwaye us shaksh ke jo keena rakhta hai apne bhai se (uski maghfirat nahi hoti ) aur hukm hota hai in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye, in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye,in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye 
Sahih Muslim, Vol 6, 6544
---------------------

Answer  3 Days


Narrated Abu Hurairah Radi Allahu anhu : The Prophet peace be upon him said: It is not allowable for a believer to keep away ( or be annoyed ) from a believer for more than three days. If three days pass, he should meet him and give him a salutation, and if he replies to it they will both have shared in the reward; but if he does not reply he will bear his sin 
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4894-Sahih

Narrated AbuHurairah Radi Allahu anhu : The Prophet peace be upon him said: It is not allowable for a Muslim to keep apart from his brother for more than three days, for one who does so and dies will enter Hell. 
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4896 -Sahih

Abu Huraira Radi allahu anhu reported The Prophet peace be upon him said The gates of Paradise are opened on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation.
Sahih Muslim Book 032, #6222

Category

Total Pageviews