Search This Blog

Autoblog

Tuesday, April 29, 2014

Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se nikal lo jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se  nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

 Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jab Allah momeen ko Aag se khulasi ( nijat) de dega aur wo mutmaeen ho jayengey to tum mein se koi duniya mein is tarah apney saathi ke liye nahi jhagda hoga jis tarah momeen apney RAB se apney bhaeeyon ke liye jhagda karengey jo aag mein dakhil kiye ja chukey hain (wo kahngey) hamarey bhai hamarey saath Namaz parhtey they , Roza rakhtey they, Hajj kartey they aapney unko jahannam mein kyu dakhil  kiya, Allah taala farmayega jao aur jinko tum unmein se pahchantey ho nikal lo wo unkey pass aayngey aur unko unki shaklo se pahchan lengey , Aag ne unke chehro ko nahi jhulsaya hoga ,kuch unmein se wo hongey jinhey aag ne aadhi pindali tak pakad rakha hoga , kuch aisey hongey jinhey ghutno tak pakad rakha hoga wo momeen unko nikal lengey wo kahngey ki eh hamrey RAB humney unko nikal liya jinka tuney hukm diya tha. Phir Allah taala farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein deenar ke wazan ke barabar Imaan ho phir farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein aadhey deenar ke wazan ke barabar  iman ho, phir farmayega usko bhi nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Abu saeed Radi-Allahu-Anhu  ne kaha ki  jo usko sach na maaney wo Quran ki ye aayat parh le ki “Allah kisi par ek zarra barabar bhi Haq talfi nahi karta aur agar neki ho to usko duguna kar deta hai aur apney pass se bada sawab deta hai-4:40

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

-------------------------------------------------------------------------
 
Narrated Abu Said Al-Khudri  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'When ALLAH has saved the believers from Hell and they are safe, none of you will dispute with his companion more vehemently for some right of his in this world than the believers will dispute with their Lord on behalf of their brothers in faith who have entered Hell. They will say, “Our Lord! They are our brothers, they used to pray with us, fast with us and perform Hajj with us, and you have admitted them to Hell.” He will say: “Go and bring forth those whom you recognize among them.” So they will come to them, and they will recognize them by their faces. The Fire will not consume their faces, although there will be some whom the Fire will seize halfway up their shins, and others whom it will seize up to their ankles. They will bring them forth, and will say, “Our Lord, we have brought forth those whom You commanded us to bring forth.” Then He will say: “Bring forth those who have a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a half a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a mustard-seed's weight ( of faith in their heart).”

Abu Sa'eed  Radi-Allahu-Anhu  said: “He who does not believe this, let him recite: 'Surely, ALLAH wrongs not even of the weight of an atom (or a small ant), but if there is any good (done), He doubles it, and gives from Him a great reward.'”(4:40)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

Category

Total Pageviews