Search This Blog

Autoblog

Tuesday, April 29, 2014

Umar Radi-Allahu-Anhu ka jannat mein Mahal

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Umar Radi-Allahu-Anhu  ka jannat mein Mahal -

Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya main soya hua tha aur mainey Apney aapko jannat mein dekha wahi ek mahal ke paas ek Aurat wudhu kar rahi thi mainey pucha ye mahal kiska hai usney kaha ki Umar ka mainey Umar ki gairat ko yaad kiya aur peechey laut aaya Abu hurairah Radi Allahu Anhu  farmatey hain ki Umar ye sun kar ro parhey aur farmaya ki Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  kya Aap par jin par mere Maa Baap fida ho , main gairat karunga


Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  107 (Sahih)

Narrated : Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  the Prophet Peace be upon him  said: 'While I was sleeping I saw myself in Paradise (in a dream), and I saw a woman performing ablution beside a palace. I asked: 'Whose palace is this?” She said: “Umar's.” I remembered his protective jealousy, so I turned away and left.'” Abu Hurairah said: “Umar wept and said: 'May my father and mother be sacrificed for you, O Messenger of Allah! Would I feel any protective jealousy against you?'”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  107(Sahih)

Category

Total Pageviews