Search This Blog

Autoblog

Monday, April 14, 2014

Hadith: Safar ke waqt Maghrib aur Isha ki Namaz milakar padh saktey hain

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Safar ke waqt Maghrib aur Isha ki Namaz milakar padh sakte hain

Narrated Aslam Radiallahu anhu:While I was in the company of 'Abdullah bin 'Umar on the way to Mecca, he received the news of the severe illness of Safiya bint Abi Ubaid (i.e. his wife), so he proceeded at greater speed, and when the twilight disappeared, he dismounted and offered the Maghrib and 'Isha 'prayers together and said, " I saw the Prophet delaying the Maghrib prayer to offer it along with the 'Isha' when he was in a hurry on a journey."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 244:
 ---------------------------------
Hadith: During Journey We can pray Maghrib prayer along with the Isha
Aslam Radiallahu anhu se rivayat hai ki jab main Abdullah bin umar Radiallahu anhuma ke saath makkey ke safar mein tha , itney mein unko Safiya bint Abi Ubaid(unki biwi) ke sakht beemar honey ki khabar mili to aapney tez chalna shuru kar diya aur jab Shafaq dub gayee(yani Suraj gurub ho gaya) to aap Sawari se utrey aur maghrib aur isha ki namaz mila kar Padhi aur kaha ki mainey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha hai jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam tezi ke saath safar karna chahte to maghrib mein takheir (der) karke dono namazein (Maghrib aur Isha ) ek saath ada farmate.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3000

Category

Total Pageviews