Search This Blog

Autoblog

Saturday, October 13, 2012

Hadith: Mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi

Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi
1. Ek mahiney ki Raah se mera Ruaa’b daalkar meri madad ki gayee
2. Mere liye tamam zameen mein namaz parhney aur paki haasil karney ki ejazat hai
isliye meri ummat ke jis aadmee ki namaz ka waqt (jaha bhi) aa jaye  usey namaz parh
leni chahiye 
3. Mere liye maal ganimat halal kiya gaya
4.Pahley anbiya khas apni 
Qaumo ki hidayat ke liye bhejey jatey they lekin mujhe duniya ke tamam insaano ki hidayat ke liye bheja gaya hai 
5. Mujhe shafa’at ata ki gayee hain
Sahih Bukhari , Vol 1, # 438

------------------------------------------------------------
Narrated Jabir bin 'Abdullah may ALLAH be pleased with him : Allah's Apostle Peace be upon him said, "I have been given five things which were not given to any amongst the Prophets before me. These are:
1. Allah made me victorious by awe (by His frightening my enemies) for a distance of one month's journey.

2. The earth has been made for me (and for my followers) a place for praying and a thing to perform Tayammum. Therefore my followers can pray wherever the time of a prayer is due.

3. The booty has been made Halal (lawful) for me (and was not made so for anyone else).

4. Every Prophet used to be sent to his nation exclusively but I have been sent 1o all mankind.

5. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection.)
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 8, #429

Category

Total Pageviews