Search This Blog

Autoblog

Saturday, October 13, 2012

Mafhum-e-Hadith: Hazrat moosa alaihi salam ne unki Aankh par ek tamancha maara jis sey uski aankh phoot gayee


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Hazrat moosa alaihi salam ne unki Aankh par ek tamancha maara jis sey uski aankh phoot  gayee

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya maut ka farishta ( Hazrat izraeel Alaihi Salam) hazrat Moosa Alaihi salam ke pass aaya aur arz kiya ki Eh Moosa apney parwardigar ke pass chalo Hazrat moosa alaihi salam ne unki Aankh par ek tamancha maara jis sey uski aankh phoot  gayee wo (farishta) laut kar Allah taala ke pass gaya aur bola Eh Malik tuney mujhe aisey bandey ke pass bheja hai jo marna nahi chahta usney meri aankh phod di Allah taala ne unki Aankh phir Durast kar di aur farmaya ki phir ja mere bandey ke pass aur kah agar tu jeena chahta hai to apna haath ek bail ki peeth par rakh aur jitney balon ko tera haath dhanp le utney baras tu aur jee hazrat moosa ne arz kiya uskey baad kya hoga to farmaya ki uskey baad phir marega, to hazrat moosa alihi salam ne farmaya to abhi marna behtar hai Eh Malik mere mujhko muqaddas zameen se ek paththar ki maar ke faasley se maar Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Allah ki kasam agar main wahan hota to main tumko hazrat moosa ki qabr bata deta raakh ke Ek janib par Lal lambi ret ke pass
Sahih Muslim, Vol6, 6149
-------------------------------------------------------------------- 
Abu Huraira reported that the Angel of Death was sent to Moses (peace be upon him) to inform of his Lord's summons. When he came, he (Moses) boxed him and his eye was knocked out. He (the Angel of Death) came back to the Lord and said: You sent me to a servant. who did not want to die. Allah restored his eye to its proper place (and revived his eyesight), and then said: Go back to him and tell him that if he wants life he must place his hand on the back of an ox, and he would be granted as many years of life as the number of hair covered by his hand. He (Moses) said: My Lord what would happen then He said: Then you must court death. He said: Let it be now. And he supplicated Allah to bring him close to the sacred land. Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: If I were there, I would have shown you his grave beside the road at the red mound.

Category

Total Pageviews