Search This Blog

Autoblog

Saturday, October 13, 2012

Mafhum-e-Hadith: Aaysha Radi-Allahu-Anha aur Abu bakr , Umar Radi-Allahu-Anhuma ka Muqam


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aaysha Radi-Allahu-Anha aur Abu bakr , Umar Radi-Allahu-Anhuma ka Muqam

Amr b. al-'As Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unhey zaat-As-Salasil ke lashkar ke saath bheja , wo Aapkey pass aaye aur pucha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam sab logon mein aapko kis sey ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aayesha (Radi-Allahu-Anha) se unhoney kaha ki mardo mein kis se ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya unkey Walid ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ) se phir pucha unkey baad kis se muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Umar (Radi-Allahu-Anhu ) se yahan tak ki Aapney kayee aadmiyon ka zikr farmaya
Sahih Bukhari, Vol6, 6177

-----------------------------------------------------------
Amr b. al-'As reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) sent him in command of the army despatched to Dhat-as-Salasil. When 'Amr b. al-'As came back to the Holy Prophet (may peace be upon him) he said: Who amongst people are dearest to you? He said: A'isha (Radi-Allahu-Anha). He then said: Who amongst men? He said: Her father, ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anha)and I said: And who next? He said: Umar (Radi-Allahu-Anha) He then enumerated some other men.
Sahih Bukhari, Book 031, Number 5876

Category

Total Pageviews