Search This Blog

Autoblog

Monday, October 22, 2012

Mafhum-e-Hadith: Hajj sirf Ek baar hai magar jisko baar baar ki istataat ho to wo Nafli hajj karey.


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hajj sirf Ek baar hai magar jisko baar baar ki istataat ho to wo Nafli hajj karey.

Ali Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Sahaba ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki Kya Hajj har saal karna hai ? to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  kamosh rahey unhoney phir pucha ki kya har saal ? to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Nahi, aur agar main kah deta Haan to har saal Hajj wajib ho jata is par ye aayat nazil huyee ki
“Eh Imaan walo na sawal karo aisee cheezon ke baarey mein ki agar wo tum par zahir kar di jaye to tumko achchi na lagey-Al Quran 5:101”
Sunan Ibn Majah, Vol 2 , # 1042 ( Hasan)

 Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Al-Aqra bin Habis Radi-Allahu-Anhu ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha ki hajj har saal (karna chahiye) ya ek baar to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya sirf Ek baar magar jisko baar baar ki istataat ho to wo Nafli hajj karey.
Sunan Ibn Majah, Vol 2 , # 1043 ( Sahih)
--------------------------------------------------------------------
Narrated by Ali may Allah be pleased with him Sahaba may Allah be pleased with them asked: O Messenger of Allah Peace be upon him , is Hajj every year?
He Peace be upon him  remained silent. They again asked: Is it every year?
He Peace be upon him said No.  If I had said yes, it would have become obligatory. Then the following (Quranic verse) was revealed “O ye who believe! Ask not questions about things which, if made plain to you, may cause you trouble - Al Quran 5:101”
Sunan Ibn Majah, Vol 4 , # 2884 (Hasan)
  
Narrated by Ibn Abbas  that Al-Aqra  bin Habis  may Allah be pleased with them asked, O Prophet of Allah Peace be upon him Is Hajj (required) for every year or once in a year?" The Messenger of Allah Peace be upon him  said Rather it is just Once. And whoever can perform Hajj voluntarily, let him do so.
Sunan Ibn Majah, Vol 4 , # 2886 (Sahih)

Category

Total Pageviews