Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 9, 2012

Mafhum-e-Hadith: Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa) bacchey par meharban hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa)  bacchey par meharban hai

Hazrat Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ke paas Qaidi aye ek aurat unmein se (kisi ko) dhundhti huyee aayee, jab usney un qaidiyon mein se ek bachchey ko paya to usko utha liya aur seeney se lagaya aur  doodh pilaya  Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ne humse farmaya kya ye Aurat apney bachchey ko angar mein dal sakti hai humney kaha nahi kasam Allah ki wo kabhi nahi dal sakti Aap sallallho alaihi wasallam ne farmaya Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat is bacchey par meharban hai
Sahih Muslim , Vol6, 6978
 -----------------------------------------------------------------------
Umar b. Khattab Radi allahu anhu reported that there were brought some prisoners to Allah's Messenger (may peace be upon him) amongst whom there was also a woman, who was searching (for someone) and when she found a child amongst the prisoners, she took hold of it, pressed it against her chest and provided it suck. Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Do you think this woman would ever afford to throw her child in the Fire? We said: By Allah, so far as it lies in her power, she would never throw the child in Fire. ' Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Allah is more kind to His servants than this woman is to her child.
 Sahih Muslim  Book 037, Number 6635:

Category

Total Pageviews