Search This Blog

Autoblog

Thursday, October 18, 2012

Mafhum-e-Hadith: Agar Namaz parhtey waqt Neend aa jaye to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye Mafhum-e-Hadith: Agar Namaz parhtey waqt Neend aa jaye to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

 Mafhum-e-Hadith: Agar Namaz  parhtey waqt Neend aa jaye
to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye 

Hazrat Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne famaya  namaz Parhtey waqt jab tum mein  se kisi ko oongh aa jaye (feeling sleepy) to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye isliye ki jab tum mein se koi shaksh namaz mein  oongh raha ho to wo kuch na janega ki wo maghfirat talab kar raha hai ya apney nafs ko baddua kar raha hai
Sahih Bukhari, wudhu ka Bayan (212)
------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha radi allahu anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 211:


Category

Total Pageviews