Search This Blog

Autoblog

Monday, October 22, 2012

Mafhum-e-Hadith: Koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith:  Koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki unhoney nabee Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3006
------------------------------------------------------------------------
Narrated Ibn Abbas: That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, It is not permissible for a man to be alone with a woman(gair mahram), and no lady should travel except with a Muhram (i.e. her husband or a person whom she cannot marry in any case for ever; e.g. her father, brother, etc.). Then a man got up and said, O Allah's Apostle! I have enlisted in the army for such-and-such Ghazwa and my wife is proceeding for Hajj. Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, Go, and perform the Hajj with your wife.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 250: 

Category

Total Pageviews