Search This Blog

Autoblog

Monday, October 22, 2012

Hadith: Main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne farmaya nadar (gareeb) log Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahney wali jannat hasil kar chukey halanki jis

 tarah hum namaz parhtey hain wo bhi parhtey hain aur jaisey hum rozey rakhtey hain wo bhi rakhtey hain lekin maal wa Daulat ki wajah se unhey hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ kartey hain Umrah kartey hain Jihad kartey hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paatey is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey aur tuharey martabey tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achchey ho jaogey siwa unkey jo yahi amal shuru kar de
Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh ( Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer ( Allahu Akbar) kaha karo phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahey . Mainey is par Aap Sallallaho Alaihey wasallam se dobara malum kiya to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya Subhanallah aur Alhamdulillah aur Allahu akbar kaho taki har ek unmein se 33 martaba ho jaye .
Sahih Bukhari, Vol 2, #843
-----------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Some poor people came to the Prophet Peace be upon him and said, The wealthy people will get higher grades and will have permanent enjoyment and they pray like us and fast as we do. They have more money by which they perform the hajj, and 'Umra; fight and struggle in Allah's Cause and give in charity. The Prophet Peace be upon him said, Shall I not tell you a thing upon which if you acted you would catch up with those who have surpassed you? Nobody would overtake you and you would be better than the people amongst whom you live except those who would do the same. Say Subhanallah, Alhamdulillah and Allahu Akbar thirty three times each after every (compulsory) prayer. We differed and some of us said that we should say, Subhanallah thirty times and Alhamdulillah thirty times and Allahu Akbar thirty four times. I went to the Prophet Peace be upon him who said, Say, Subhanallah and Alhamdulillah and Allahu Akbar all together for 33 times.
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 804

Category

Total Pageviews