Search This Blog

Autoblog

Thursday, October 4, 2012

Al Quran : Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain isliye apney bhaiyon mein sulah kara diya karo aur Allah se daro taki tum par Raham kiya jaye
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10

Hadith: Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh kisi momeen par se duniya ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega to Allah Subhanahu us par aakhirat ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega Aur jo shaksh muflis ko mohlat de ( yani us par apney karz ke liye sakhti na karey) to Allah subhanahu us par aasani karega aakhirat mein , Aur jo shaksh kisi Musalman ka Aib chupayega duniya mein to Allah subhanahu uska Aib chupayega duniya mein aur aakhirat mein, Allah subhanahu apney bandey ki madad mein rahta hai jab tak banda apney (musalman) bhai ki madad mein rahta hai……
Sahih Muslim, Volume 6, 6853 ( Part 1 )
-----------------------------------------------------
English Translation:
The believers are nothing else than brothers (in Islam). So make reconciliation between your brothers, and fear Allah, that you may receive mercy.
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10

Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: He who alleviates the suffering of a brother out of the sufferings of the world, Allah would alleviate his suffering from the sufferings of the Day of Resurrection, and he who finds relief for one who is hard pressed, Allah would make things easy for him in the Hereafter, and he who conceals (the faults) of a Muslim, Allah would conceal his faults in the world and in the Hereafter. Allah is at the back of a servant so long as the servant is at the back of his brother
Sahih Muslim,  Book 035, Number 6518 ( part 1)

Category

Total Pageviews