Search This Blog

Autoblog

Tuesday, October 2, 2012

Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein burey hongey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein burey hongey

Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi 
alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Nabee sallallahu
alaihi wasallam se bhi kiya,  AAP  Sallallahu alaihi wasalam ne farmaya ki unka ye Qayada tha ki agar unmein koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein
Qayamat ke din Tamam makhluq mein burey hongey
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427
-----------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha may ALLAH be pleased with her :Um Habiba and Um Salama mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet Peace be upon him about it, on which he said, "If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection."

Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 8, #419

Category

Total Pageviews