Search This Blog

Autoblog

Sunday, December 9, 2012

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumharey haath mein to nahi hai.


 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tumhara haiz tumharey haath  mein to nahi hai.

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to mainey Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tumhara haiz tumharey haath  mein to nahi hai.
Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ka sir Mubarak hum mein se (yani  wives  mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife)  haiz ki halat mein hoti  aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  Quran ki Tilawat bhi farmatey
Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam   ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.
Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)

Tashreeh: Jahiliyat ke zamaney mein Aurat ko haiz aaney par uska bistar alag kar diya jata tha usey chua nahi jata tha aur us sey ghar ke bahut se kaam nahi karwaye jatey they, Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne Apni zawja  se haiz ki halat mein   is tarah muamla farma kar un sab baton ko khatam kar diya.
--------------------------------------------------

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that The Messenger Peace be upon him  said Give me the mat from the Masjid  She said:  I am menstruating. The Messenger of Allah said: "Your menstruation is not in your hand.
Sunan Nasaii , Vol 1, 272 (Sahih)

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that  The head of the Messenger  of  Allah would rest in the lap of one of us when she was menstruating, and he would recite Quran.
Sunan Nasaii , Vol 1, 275, 278 (Sahih)

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that  I used to comb the Messenger of Allah Peace be upon him when I was menstruating.
Sunan Nasaii , Vol 1, 278 (Sahih)

Explanation: During the days of pre-Islamic ignorance, women were deemed inferior beings Especially during her menstrual cycles she was branded untouchable, and was
distanced from society. Consequently, many women became susceptible to
developing an inferiority complex. By this Hadith Allah’s Messenger Peace be upon him put an end to the illtreatment of women. consider, for instance, the tender consideration he Peace be upon him showed to his menstruating wife.

Category

Total Pageviews