Search This Blog

Autoblog

Sunday, December 9, 2012

Mafhum-e-Hadith: Usman Radi-Allahu-Anhu se farishtey bhi sharam kartey hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Usman Radi-Allahu-Anhu se farishtey bhi sharam kartey hain
(The Angels show modesty to the uthman Radi-Allahu-Anhu)

Ummul momeneen  aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallahu-Alaihi-Wasallam  apney ghar mein laitey huye they raney  ya pindliyan
kholey huye itney mein Abu baker Radi Allahu Anhu ne ejazat maangee aap
Sallallahu Alaihi wasallam ne Ejazat dee isi haal mein baatein kartey rahey phir
hazrat umar Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahi unko bhi Ejazat dee aur isi haal mein
baatein kartey rahey phir hazrat usman Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahee to
Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam baith gaye aur kapdey barabar kiye phir
wo aaye aur baatein ki jab wo chaley gaye to hazrat aayesha Radi allahu anha ne
kaha abu bakr aaye aapney kuch khayal na kiya phir umar aaye aapney kuch khyal
na kiya phir hazrat usman aaye aap baith gayeaur aapney kapdey
durast kiye Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kya main sharam na karu
us shaksh se jis shaksh se farishtey sharam kartey hain.
Sahih Muslim, Vol 6 , 6209
------------------------------------------------------------------------------------
Aisha Radi-Allahu-Anha reported: Allah's Messenger peace be upon him was lying in the bed in my apartment with his thigh or his shank uncovered that Abu Bakr radi allahu anhu sought permission to get in. It was given to him and he conversed in the same very state (the Prophet's thigh or shank uncovered). Then Umar radi allahu anhu sought permission for getting in and it was given to him and he conversed in that very state. Then 'Uthman radi allahu anhu sought permission for getting in; Allah's Messenger  peace be upon him sat down and he set right his clothes. He ('Uthman) then entered and conversed and as he went out, A'isha Radi allahu anha said: Abu Bakr radi allahu anhu entered and you did not stir and did not observe much care (in arranging your clothes), then Umar radi allahu anhu entered and you did not stir and did not arrange your clothes, then Uthman entered and you got up and set your clothes right, thereupon he said: Should I not show modesty to one whom even the Angels show modesty.
Sahih Muslim Book 031, Number 5906

Category

Total Pageviews