Search This Blog

Autoblog

Tuesday, December 25, 2012

Al Quran : Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto aur Allah ki us meharbani ko yaad karo jab tum ek dusrey ke dushman they to usney tumharey dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye aur tum Aag ke ghadhey (brink of a pit) ke kinarey tak pahunch chukey they to Allah subhanahu ne tumko us sey bacha liya aur is tarah Allah apni aaytein khol khol kar sunata hai taki tum hidayat hasil karo
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

Aur Allah aur uskey Rasool ke hukm par chalo aur aapas mein jhagda na karna ke ( aisa karogey to) tum buzdil ho jaogey aur tumhara Iqbal jata rahega( yani taqat khatam ho jayegai) aur sabr se kaam lo ki Allah sabr karney walo ke saath hai
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46
------------------------------------------------

And hold fast, all of you together, to the rope of Allah (i.e. this Qur an), and be not divided among yourselves , and remember Favour of Allah on you, for you were enemies one to another but He joined your hearts together, so that, by His Grace, you became brethren (in Islamic Faith), and you were on the brink of a pit of Fire, and He saved you from it. Thus Allah makes His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.,) clear to you, that you may be guided. 
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

And obey Allah and His Messenger, and do not dispute (with one another) lest you lose courage and your strength departs, and be patient. Surely, Allah is with those who are As-Sabirun (the patient).
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46

Category

Total Pageviews